Table of Contents
Nishan Yehi Hai Zamane Mein Zinda Qaumon Ka
Allama Iqbal Poetry | Armaghan-e-Hijaz
Nishan Yehi Hai Zamane Mein Zinda Qoumon Ka
Ke Subha-O-Sham Badalti Hain In Ki Taqdeerain
نشاں يہي ہے زمانے ميں زندہ قوموں کا
کہ صبح و شام بدلتي ہيں ان کي تقديريں
Kamal-E-Sidq-O-Marawwat Hai Zindagi In Ki
Maaf Karti Hai Fitrat Bhi In Ki Taqseerain
کمال صدق و مروت ہے زندگي ان کي
معاف کرتي ہے فطرت بھي ان کي تقصيريں
Qalanderana Ada’en, Sikandarana Jalal
Ye Ummatain Hain Jahan Mein Barhana Shamsheerain
قلندرانہ ادائيں، سکندرانہ جلال
يہ امتيں ہيں جہاں ميں برہنہ شمشيريں
Khudi Se Mard-E-Khud Agah Ka Jamal-O-Jalal
K Ye Kitab Hai, Baqi Tamam Tafseerain
خودي سے مرد خود آگاہ کا جمال و جلال
کہ يہ کتاب ہے، باقي تمام تفسيريں
Shikwa-E-Eid Ka Munkir Nahin Hun Mein, Lekin
Qabool-E-Haq Hain Faqat Mard-E-Hur Ki Takbeerain
شکوہ عيد کا منکر نہيں ہوں ميں، ليکن
قبول حق ہيں فقط مرد حر کي تکبيريں
Hakeem Meri Nawa’on Ka Raaz Kya Jane
Wara’ay Aqal Hain Ahl-E-Junoon Ki Tadbeerain
حکيم ميري نواؤں کا راز کيا جانے
ورائے عقل ہيں اہل جنوں کي تدبيريں
Imamat – Tu Ne Puchi Hai Imamat Ki Haqeeqat Mujh Se
Momin – Ho Halqa-e-Yaran To Baresham Ki Tarah Naram
Aqal-o-Dil – Allama Iqbal Poetry | Aqal Ne Aik Din Ye Dil Se Kaha
Shaheen – Allama Iqbal | Kiya Mein Ne Uss Khakdan Se Kinara
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO