Table of Contents
Nigah-e-Shauq
Allama Iqbal Poetry | Zarb-e-Kaleem
Ye Kainat Chupati Nahin Zameer Apna
Ke Zarre Zarre Mein Hai Zauq-e-Ashkarayi
يہ کائنات چھپاتي نہيں ضمير اپنا
کہ ذرے ذرے ميں ہے ذوق آشکارائي
Kuch Aur Hi Nazar Ata Hai Karobar-e-Jahan
Nigah-e-Shauq Agar Ho Shareek-e-Beenai
کچھ اور ہي نظر آتا ہے کاروبار جہاں
نگاہ شوق اگر ہو شريک بينائي
Issi Nigah Se Mehkoom Qoum Ke Farzand
Huwe Jahan Mein Sazawar-e-Kaar Farmayi
اسي نگاہ سے محکوم قوم کے فرزند
ہوئے جہاں ميں سزاوار کار فرمائي
Issi Nigah Mein Hai Qahiri-o-Jabari
Issi Nigah Mein Hai Dilbari-o-Raanai
اسي نگاہ ميں ہے قاہري و جباري
اسي نگاہ ميں ہے دلبري و رعنائي
Issi Nigah Se Har Zarre Ko, Junoon Mera
Sikha Raha Hai Reh-o-Rasm-e-Dasht-e-Pemai
اسي نگاہ سے ہر ذرے کو ، جنوں ميرا
سکھا رہا ہے رہ و رسم دشت پيمائي
Nigah-e-Shauq Mayassr Nahin Agar Tujh Ko
Tera Wujood Hai Qalb-o-Nazar Ki Ruswai
نگاہ شوق ميسر نہيں اگر تجھ کو
ترا وجود ہے قلب و نظر کي رسوائي
Hindi Islam – Allama Iqbal Poetry | Zarb-e-Kaleem
Haal-o-Maqam – Dil Zinda-o-Baidar Agar Ho To Batadreej
Nikl Kar Khanqahon Se Ada Kar Rasm-E-Shabeeri | Allama Iqbal
Ilm-o-Ishq – Allama Iqbal Poetry | Zarb-e-Kaleem
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO