Table of Contents
Nigah-e-Faqr Mein Shan-e-Sikandari Kya Hai
(Bal-e-Jibril)
Nigah-e-Faqr Mein Shan-e-Sikandari Kya Hai
Kharaj Ki Jo Gada Ho, Woh Qaisri Kya Hai
نگاہ فقر میں شان سکندری کیا ہے
خراج کی جو گدا ہو وہ قیصری کیا ہے
Buton Se Tujh Ko Umeedain, Khuda Se Naumeedi
Mujhe Bata To Sahi Aur Kafiri Kya Hai
بتوں سے تجھ کو امیدیں خدا سے نومیدی
مجھے بتا تو سہی اور کافری کیا ہے
Falak Ne Un Ko Atta Ki Hai Khawajgi Ke Jinhain
Khabar Nahin Rawish-e-Banda Parwari Kya Hai
فلک نے ان کو عطا کی ہے خواجگی کہ جنہیں
خبر نہیں روش بندہ پروری کیا ہے
Faqt Nigah Se Hota Hai Faisla Dil Ka
Na Ho Nigah Mein Shaukhi To Dilbari Kya Hai
فقط نگاہ سے ہوتا ہے فیصلہ دل کا
نہ ہو نگاہ میں شوخی تو دلبری کیا ہے
Issi Khata Se Itaab-e-Mulook Hai Mujh Par
Ke Janta Hun Maal-e-Sikandari Kya Hai
اسی خطا سے عتاب ملوک ہے مجھ پر
کہ جانتا ہوں مآل سکندری کیا ہے
Kise Nahin Hai Tamana-e-Sarwari, Lekin
Khudi Ki Mout Ho Jis Mein Woh Sarwari Kya Hai
کسے نہیں ہے تمنائے سروری لیکن
خودی کی موت ہو جس میں وہ سروری کیا ہے
Khush Aa Gyi Hai Jahan Ko Qalandari Meri
Wagarna Shair Mera Kya Hai, Shayari Kya Hai
خوش آ گئی ہے جہاں کو قلندری میری
وگرنہ شعر مرا کیا ہے شاعری کیا ہے
Jab Ishq Sikhata Hai Adaab-e-Khud Agaahi – Allama Iqbal Poetry
Majnoon Ne Sheher Chora Tu Sehra Bhi Chor De – Allama Iqbal
Sitaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hai | Allama Iqbal Poetry
Sitaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hai | Allama Iqbal Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO