Table of Contents
Nawa-e-Gham
Zindagaani Hai Meri Misl-e-Rubab-e-Khamosh
Allama Iqbal Poetry | Bang-e-Dara
Zindagaani Hai Meri Misl-e-Rubab-e-Khamosh
Jis Ki Har Rang Ke Naghmon Se Hai Labraiz Aghosh
زندگانی ہے مری مثل رباب خاموش
جس کی ہر رنگ کے نغموں سے ہے لبريز آغوش
Barbat-e-Kon-o-Makan Jis Ki Khamoshi Pe Nisar
Jis Ke Har Taar Mein Hain Saikrhon Naghmon Ke Mazar
بربط کون و مکاں جس کی خموشی پہ نثار
جس کے ہر تار ميں ہيں سينکڑوں نغموں کے مزار
Mehsharistan-e-Nawa Ka Hai Ameen Jis Ka Sukoot
Aur Minnat Kash-e-Hangama Nahin Jis Ka Sukoot
محشرستان نوا کا ہے اميں جس کا سکوت
اور منت کش ہنگامہ نہيں جس کا سکوت
Aah! Umeed Mohabbat Ki Bar Ayi Na Kabhi
Chot Mizrab Ki Iss Saaz Ne Khayi Na Kabhi
آہ! اميد محبت کی بر آئی نہ کبھی
چوٹ مضراب کی اس ساز نے کھائی نہ کبھی
Magar Ati Hai Naseem-e-Chaman-e-Toor Kabhi
Simat-e-Gurdoon Se Hawaye Nafas-e-Hoor Kabhi
مگر آتی ہے نسيم چمن طور کبھی
سمت گردوں سے ہوائے نفس حور کبھی
Chair Ahista Se Deti Hai Mera Taar-e-Hayat
Jis Se Hoti Hai Riha Rooh-e-Graftar-e-Hayat
چھيڑ آہستہ سے ديتی ہے مرا تار حيات
جس سے ہوتی ہے رہا روح گرفتار حيات
Naghma-e-Yaas Ki Dheemi Si Sada Uthti Hai
Ashak Ke Qafle Ko Bang-e-Dra Uthti Hai
نغمہ ياس کی دھيمی سی صدا اٹھتی ہے
اشک کے قافلے کو بانگ درا اٹھتی ہے
Jis Tarah Riffat-e-Shabnam Hai Mazaq-e-Ram Se
Meri Fitrat Ki Bulandi Hai Nawaye Gham Se
جس طرح رفعت شبنم ہے مذاق رم سے
ميری فطرت کی بلندی ہے نوائے غم سے
Farishte Adam Ko Jannat Se Rukhsat Karte Hain | Iqbal Poetry
Sultani – Allama Iqbal | Kise Khabar Ke Hazaron Maqam Rakhta Hai
Masjid-e-Quwwat-Ul-Islam | Allama Iqbal Poetry | Zarb-e-Kaleem
Ilm-o-Ishq – Allama Iqbal Poetry | Zarb-e-Kaleem
Aqal-o-Dil – Allama Iqbal Poetry | Aqal Ne Aik Din Ye Dil Se Kaha
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO