Table of Contents
Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asman Ke Liye
(Bal-e-Jibril)
Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asman Ke Liye
Jahan Hai Tere Liye, Tu Nahin Jahan Ke Liye
نہ تو زمیں کے لیے ہے نہ آسماں کے لیے
جہاں ہے تیرے لیے تو نہیں جہاں کے لیے
Ye Aqal-o-Dil Hain Sharar Shola-e-Mohabbat Ke
Woh Khaar-o-Khs Ke Liye Hai, Ye Neetan Ke Liye
یہ عقل و دل ہیں شرر شعلۂ محبت کے
وہ خار و خس کے لیے ہے یہ نیستاں کے لیے
Maqam-e-Parwarish-e-Aah-o-Nala Hai Ye Chaman
Na Sair-e-Gul Ke Liye Hai Na Ashiyan Ke Liye
مقام پرورش آہ و نالہ ہے یہ چمن
نہ سیر گل کے لیے ہے نہ آشیاں کے لیے
Rahe Ga Ravi-o-Neel-o-Firat Mein Kab Tak
Tera Safina Ke Hai Behar-e-Bekaran Ke Liye!
رہے گا راوی و نیل و فرات میں کب تک
ترا سفینہ کہ ہے بحر بیکراں کے لیے
Nishan-e-Rah Dikhate The Jo Sitaron Ko
Taras Gye Hain Kisi Mard-e-Rah Daan Ke Liye
نشان راہ دکھاتے تھے جو ستاروں کو
ترس گئے ہیں کسی مرد راہ داں کے لیے
Nigah Buland, Sukhan Dil Nawaz, Jaan Pursouz
Yehi Hai Rakht-e-Safar Mir-e-Karwan Ke Liye
نگہ بلند سخن دل نواز جاں پرسوز
یہی ہے رخت سفر میر کارواں کے لیے
Zara Si Baat Thi, Andaisha-e-Ajam Ne Isse
Barha Diya Hai Faqat Zaib-e-Dastan Ke Liye
ذرا سی بات تھی اندیشۂ عجم نے اسے
بڑھا دیا ہے فقط زیب داستاں کے لیے
Mere Gulu Mein Hai Ek Naghma Jibreel Ashob
Sanbhal Kar Jise Rakha Hai La-Makan Ke Liye
مرے گلو میں ہے اک نغمہ جبرائیل آشوب
سنبھال کر جسے رکھا ہے لا مکاں کے لیے Jab Ishq Sikhata Hai Adaab-e-Khud Agaahi – Allama Iqbal PoetryKhird-Mandon Se Kya Puchon Ke Meri Ibtida Kya Hai – Allama IqbalMajnoon Ne Sheher Chora Tu Sehra Bhi Chor De – Allama Iqbal
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO