Na Samaton Main Tapish Ghule – Mohsin Naqvi
Na samaton main tapish ghule, na nazar ko waqf e azaab kar
Jo sunai de usay chup sikha, jo dikhai de usay khawb kar
نہ سماعتوں میں تپش گھلے نہ نظر کو وقفِ عذاب کر
Abhi muntashir na ho ajnabi, na wisaal e lutq e karam jata
Jo teri talaash mein gumm hue, kabhi unn dino ka hisaab kar
ابھی منتشر نہ ہو اجنبی، نہ وصال رت کے کرم جتا
Mere sabr per koi ajr kya, meri dopeher pe ye abr kyoon
Mujhe orhne de azeeyaten, meri adaten ne kharab kar
میرے صبر پر کوئی اجر کیا میری دوپہر پر یہ ابر کیوں
Kahin aablon k bhanwar mein khoen, dhoop badan mein sajaen
Kabhi dil ko thall ka mizaaj de, kabhi chashm e tar ko chanab kar
کہیں آبلوں کے بھنور بجیں کہیں دھوپ روپ بدن سجیں
Ye hajoom e shehr e sitam gara’n na sune ga teri sada kabhi
Meri hasraton ko sukhan suna, meri khawhishon se khitaab kar
یہ ہجوم شہر ستمگراں نہ سنے گا تیری صدا کبھی
Ye jaloos e fasl e bahar hy tahi dast, yaar saja isay
Koi ashk phir se sharar bna koi zakhm phir se gulaab kar
یہ جلوس فصل بہار ہے تہی دست ۔یار سجا اسے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO