Table of Contents
Na Koi Khawab Na Saheli Thi
Noshi Gilani Poetry
Na koi khawab na koi saheli thi
us mohabbat mein main akeli thi
نہ کوئی خواب نہ سہیلی تھی
اس محبت میں، میں اکیلی تھی
ishq main tum kahaan kay sachay they
jo aziyat thi woh hum ne jhaili thi
عشق میں تم کہاں کے سچے تھے
جو اذیت تھی ہم نے جھیلی تھی
yaad ab kuch nahi raha laiken
ik dariya tha ya haveli thi
یاد اب کچھ نہیں رہا لیکن
ایک دریا تھا یا حویلی تھی
jis nay uljha kay rakh diya dil ko
woh mohabbat thi ya paheli thi
جس نے اُلجھا کے رکھ دیا دل کو
وہ محبت تھی یا پہیلی تھی
mein zara si bhi kam wafa karti
tum ne tu meri jan le li thi
میں ذرا سی بھی کم وفا کرتی
تم نے تو میری جان لے لی تھی
waqt kay sanp kha gay usko
meray aangan main ik chanbeli thi
وقت کے سانپ کھا گئے اس کو
کتنی روشن مری ہتھیلی تھی
Aankhon Ka Rang, Baat Ka Lehja Badal Gaya – Ghazal
Khule Dilon Se Mile Fasla Bhi Rakhte Rahe – Urdu Poetry
Dil Khoon Hua Kahin to Kabhi Zakham Seh Gaye
Dil Ke Andar Dard Aankhon Ki Nami Ban Jaiye
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO