Na Haaraa Hai Ishq Aur Na Duniya Thaki Hai
Na Haaraa Hai Ishq Aur Na Duniyaa Thaki Hai
Diyaa Jal Rahaa Hai Hawaa Chal Rahi Hai
نہ ہارا ہے عشق اور نہ دنیا تھکی ہے
دیا جل رہا ہے ہوا چل رہی ہے
Sukoon Hi Sukoon Hai, Khushi Hi Khushi Hai
Teraa Gham Salaamat Mujhe Kyaa Kami Hai
Teraa Gham Salaamat Mujhe Kyaa Kami Hai
سکوں ہی سکوں ہے، خوشی ہی خوشی ہے
ترا غم سلامت، مجھے کیا کمی ہے
Wo Moujood Hain Aur Un Ki Kami Hai
Muhabbat Bhi Tanhaa’i-E-Daaimee Hai
Muhabbat Bhi Tanhaa’i-E-Daaimee Hai
وہ موجود ہیں اور ان کی کمی ہے
محبت بھی تنہائی یہ دائمی ہے
Khatak Gudgudi Kaa Mazaa De Rahi Hai
Jise Ishq Kahte Hain Shayad Yahi Hai
Jise Ishq Kahte Hain Shayad Yahi Hai
کھٹک گدگدی کا مزا دے رہی ہے
جسے عشق کہتے ہیں شاید یہی ہے
Charaagon Ke Badle Makaan Jal Rahe Hain
Nayaa Hai Zamaanaa, Na’i Raushni Hai
Nayaa Hai Zamaanaa, Na’i Raushni Hai
چراغوں کے بدلے مکاں جل رہے ہیں
نیا ہے زمانہ، نئی روشنی ہے
Jafaaon Pe Ghut Ghut Ke Chup Rahne Waalo
Khaamoshi Jafaaon Ki Taaid Bhi Hai
Khaamoshi Jafaaon Ki Taaid Bhi Hai
جفاؤں پہ گھُٹ گھُٹ کے چُپ رہنے والو
خموشی جفاؤں کی تائید بھی ہے
Mere Raahbar Mujh Ko Gum-Raah Kar De
Sunaa Hai Ke Manzil Qarib Aa Ga’i Hai
Sunaa Hai Ke Manzil Qarib Aa Ga’i Hai
مرے راہبر! مجھ کو گمراہ کر دے
سنا ہے کہ منزل قریب آ گئی ہے
Khumar-E-Baalaanosh Too Aur Taubaa,
Tujhe Zaahidon Ki Nazar Lag Gayi Hai
Tujhe Zaahidon Ki Nazar Lag Gayi Hai
خمارِ بلا نوش! تُو اور توبہ!
تجھے زاہدوں کی نظر لگ گئی ہے
شاعر : خمار بارہ بنکوی
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO