
Table of Contents
Musalman Ke Lahoo Mein Hai, Saliqa Dil Nawazi Ka
Bal-e-Jibril – (Kabul Mein Likhe Gye)
Musalman Ke Lahoo Mein Hai, Saliqa Dil Nawazi Ka
Marawwat Husn-E-Alamgeer Hai Mardan-E-Ghazi Ka
مسلماں کے لہو میں ہے سلیقہ دل نوازی کا
مروت حسن عالم گیر ہے مردان غازی کا
Shikayat Hai Mujhe Ya Rab! Khudawand-E-Maktab Se
Sabaq Shaheen Bachon Ko De Rahe Hain Khaakbazi Ka
شکایت ہے مجھے یا رب خداوندان مکتب سے
سبق شاہیں بچوں کو دے رہے ہیں خاک بازی کا
Bohat Muddat Ke Nakhcheeron Ka Andaz-E-Nigah Badla
Ke Main Ne Faash Kar Dala Tareeqah Shahbazi Ka
بہت مدت کے نخچیروں کا انداز نگہ بدلا
کہ میں نے فاش کر ڈالا طریقہ شاہبازی کا
Qalander Juz Do Harf-E-LA ILAHA Kuch Bhi Nahin Rakhta
Faqeeh-E-Sheher Qaroon Hai Lighat-E-Ha’ay Hijazi Ka
قلندر جز دو حرف لا الٰہ کچھ بھی نہیں رکھتا
فقیہ شہر قاروں ہے لغت ہائے حجازی کا
Hadees-E-Badah-O-Meena-O-Jaam Ati Nahin Mujh Ko
Na Kar Khara Shighafon Se Taqaza Shisha Sazi Ka
حدیث بادہ و مینا و جام آتی نہیں مجھ کو
نہ کر خاراشگافوں سے تقاضا شیشہ سازی کا
Kahan Se Tu Ne Ae Iqbal Seekhi Hai Darveshi
Ke Charcha Padshahon Mein Hai, Teri Be-Niazi Ka
کہاں سے تو نے اے اقبالؔ سیکھی ہے یہ درویشی
کہ چرچا پادشاہوں میں ہے تیری بے نیازی کا Dil Soz Se Khali Hai, Nigah Pak Nahin Hai – Allama IqbalWoh Harf-e-Raaz Ke Mujh Ko Sikha Gya Hai Junoon – Allama IqbalZamana Aaya Hai Be-Hijabi Ka, Aam Deedar-e-Yaar Hoga – IqbalPreshan Ho Ke Meri Khaak Akhir Dil Na Ban Jaye – Iqbal poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO