Table of Contents
Muhabbaton Mein Dikhawe Ki Dosti Na Mila
Bashir Badr Poetry
muhabbaton mein dikhawe ki dosti na mila
agar gale nahi milta to hath bhi na mila
محبتوں میں دکھاوے کی دوستی نہ ملا
اگر گلے نہیں ملتا تو ہاتھ بھی نہ ملا
gharon pe naam the namon ke sath ohde the
bahut talash kiya koi aadmi na mila
گھروں پہ نام تھے ناموں کے ساتھ عہدے تھے
بہت تلاش کیا کوئی آدمی نہ مل
tamam rishton ko main ghar pe chord aaya tha
phir us ke baad mujhe koi ajnabi na mila
تمام رشتوں کو میں گھر پہ چھوڑ آیا تھا
پھر اس کے بعد مجھے کوئی اجنبی نہ ملا
Khuda ki itni badi kaenat mein main ne
bas ek shakhs ko manga mujhe wahi na mila
خدا کی اتنی بڑی کائنات میں میں نے
بس ایک شخص کو مانگا مجھے وہی نہ ملا
bahut ajeeb hai ye qurbaton ki doori bhi
wo mere sath raha aur mujhe kabhi na mila
بہت عجیب ہے یہ قربتوں کی دوری بھی
وہ میرے ساتھ رہا اور مجھے کبھی نہ ملا
Read More:
Yunhi Be Sabab Na Phira Karo – Bashir Badr Ghazal
Tum Aaye Ho Na Shab-e-Intezar Guzri Hai by Faiz Ahmad Faiz
Aashiqi Mein Mir Jaise Khwab Mat Dekha Karo – Ahmad Faraz
Seena Dehak Raha Ho Tou Kya Chup Rahe Koi – Jaun Elia Poetry