
Table of Contents
Meri Zindegi Hai Zaalim, Tere Gam Se Aashkara
Shakeel Badayuni
Meri Zindegi Hai Zaalim, Tere Gam Se Aashkara
Tera Gam Hai Dar-Haqeeqat Mujhe Zindegi Se Pyaara
مِری زندگی ہے ظالم ،تِرے غم سے آشکارا
تِرا غم ہے در حقیقت مجھے زندگی سے پیارا
Wo Agar Bura Na Maane To Jahaan-E-Rang-O-Bu Main
Main Sukun-E-Dil Ki Khaatir Koi Dhoondh Loon Sahara
وہ اگر بُرا نا مانیں تو جہانِ رنگ و بُو میں
میں سکونِ دل کی خاطر کوئی ڈھونڈ لوں سہارا
Mujhe Aa Gaya Yaqin Sa Yahi Hai Meri Manzil
Sar-E-Rah Jab Kisi Ne Mujhe Daffatan Pukaara
مجھے آ گیا یقیں سا کہ یہی ہے میری منزل
سرِ راہ جب کسی نے مُجھے دفعتاً پُکارا
Main Bataaon Farq Naasih, Jo Hai Mujh Main Aur Tujh Main
Meri Zindegi Talaatum, Teri Zindegi Kinaara
میں بتاؤں فرق ناصح جوہے مُجھ میں اور تُجھ میں
مِری زندگی تلاطم ، تِری زندگی کنارا
Mujhe Guftagu Se Badkar Gam-E-Izn-E-Guftagu Hai
Wahi Baat Poochte Hain Jo Na Kah Sakun Dobara
مُجھے گفتگو سے بڑھ کر غمِ اذنِ گفتگو ہے
وُہی بات پُوچھتے ہیں جو نہ کہہ سکوں دوبارا
Koi Aye ‘Shakeel’ Dekhe, Ye Junoon Nahin To Kya Hai
Ke Usi Ke Ho Gaye Ham Jo Na Ho Saka Hamaara
کوئی اے شکیل دیکھے یہ جنون نہیں تو کیا ہے
کہ اُسی کے ہو گئے ہم جو نہ ہو سکا ہمارا
Chahat Mein Kya Duniya-dari Ishq Mein Kaisi Majburi – Urdunama
Kon Aaya Keh Nigahon Mein Chamak Jag Uthi – Urdu Shayari
Wafa Ka Ahad Tha Dil Ko Sambhalne Ke Liye – Urdu Shayari
Aye Mere Hamnasheen Chal Kahin Aur Chal – Urdu Shayari
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO