Table of Contents
Mein Ye Kis Ke Naam Likhon Jo Alam Guzar Rahe Hain
Mein ye kis ke naam likhon jo alam guzar rahay hain Meray shaher jal rahay hain , meray log mar rahay hain میں یہ کس کے نام لکھّوں جو الم گزر رہے ہیں
مرے شہر جل رہے ہیں مرے لوگ مر رہے ہیں Koi guncha ho keh gul ho , koi shaakh ho shajar ho Woh hawa-e-gulistaan hai keh sabhi bikhar rahay hain کوئی غنچہ ہو کہ گُل ہو کوئی شاخ ہو شجر ہو
وہ ہوائے گُلستاں ہے کہ سبھی بکھر رہے ہیں Kabhi rehmatain thein nazil is khitta-e-zameen par Wohi khitzameen hai keh azaab utar rahay hain کبھی رحمتیں تھیں نازل اسی خطّہء زمیں پر
وہی خطہء زمیں ہے کہ عذاب اتر رہے ہیں Wohi taahiron ke jhurmat Jo hawa main jhooltay thay Woh fiza ko dekhtay hain , to ab aah bhartay hain وہی طائروں کے جھرمٹ جو ہَوا میں جھولتے تھے
وہ فضا کو دیکھتے ہیں تو اب آہ بھر رہے ہیں Bari aarzo thi hum ko naye khwaab dekhnay ki So ab apni zindagi main naye khwaab bhar rahay hain بڑی آرزو تھی ہم کو نئے خواب دیکھنے کی
سو اب اپنی زندگی میں نئے خواب بھر رہے ہیں Koi aur nahin hai bas khanjar azmaai Hum hi qatal ho rahay hain , hamain qatal kar rahay hain کوئی اور تو نہیں ہے پس ِ خنجر آزمائی
ہمیں قتل ہو رہے ہیں، ہمیں قتل کر رہے ہیں
عبیداللہ علیم
Baarish Hui To Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye – Parveen ShakirAbhi Farmaan Aaya Hai Wahaan Se – Jaun Elia PoetryTwo Line Tanhaai Poetry Collection in Urdu/Hindi Meri Zindegi Hai Zaalim, Tere Gam Se Aashkara – Shakeel Badayuni
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO