Malbus Jab Hawa Ne Badan Se Chura Liye
malbus jab hawa ne badan se chura liye
doshizgan-e-subh ne chehre chhupa liye
ملبوس جب ہوا نے بدن سے چرا لیۓ
دوشِیزگانِ صبح نے چہرے چھپا لیۓ hum ne to apne jism pe zakhmon ke aaine
har hadse ki yaad samajh ke saja liye ہم نے تو اپنے جسم پہ زخموں کے آئنےہر حادثے کی یاد سمجھ کر سجا لیۓ
mizan-e-adl tera jhukao hai jis taraf
us samt se dilon ne bade zakhm kha liye
میزانِ عدل تیرا جھکاؤ ہے جس طرفاس سمت سے دلوں نے بڑے زخم کھا لیۓ diwar kya giri mere khasta makan ki
logon ne mere sehan mein raste bana liye دیوار کیا گری مرے خستہ مکان کیلوگوں نے میرے صحن میں رستے بنا لیۓ logon ki chadaron pe banati rahi wo phul
paiwand us ne apni qaba mein saja liye لوگوں کی چادروں پہ بناتی رہی وہ پھولپیوَند اس نے اپنی قبا میں سجا لیۓ har marhale ke dosh pe tarkash ko dekh kar
maon ne apni god mein bachche chhupa liye ہر حُرملہ کے دوش پہ ترکش کو دیکھ کرماؤں نے اپنی گود میں بچّے چھپا لیۓ Tere Chehre Ki Tarah Aur Mere Seene Ki TarahJis Din Se Juda Woh Hum Se Huye – Sad PoetryKoi Mausam Ho Dil Mein Hai Tumhari Yaad Ka MausamBarson Ke Intezaar Ka Anjaam Likh Diya – NFAK Lyrics
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO