Table of Contents
Main To Maqtal Main Bhi Qismat ka Sikandar Nikla
Ahmad Faraz Poetry
main to maqtal mein bhi qismat ka sikandar nikla
qura-e-fal mere nam ka aksar nikla
میں تو مقتل میں بھی قسمت کا سکندر نکلا
قرعۂ فال مرے نام کا اکثر نکلا tha jinhen zoam wo dariya bhi mujhi mein Dube
main ki sahra nazar aata tha samundar nikla تھا جنہیں زعم وہ دریا بھی مجھی میں ڈوبےمیں کہ صحرا نظر آتا تھا سمندر نکلا main ne us jaan-e-bahaaran ko bahut yaad kiya
jab koi phul meri shaKH-e-hunar par nikla میں نے اس جان بہاراں کو بہت یاد کیاجب کوئی پھول مری شاخ ہنر پر نکلا shahr-walon ki mohabbat ka main qael hun magar
main ne jis hath ko chuma wahi KHanjar nikla شہر والوں کی محبت کا میں قائل ہوں مگرمیں نے جس ہاتھ کو چوما وہی خنجر نکلا tu yahin haar gaya hai mere buzdil dushman
mujh se tanha ke muqabil tera lashkar nikla تو یہیں ہار گیا ہے مرے بزدل دشمنمجھ سے تنہا کے مقابل ترا لشکر نکلا main keh sahra-e-mohabbat ka musafir tha faraz
ek jhonka tha ki KHushbu ke safar par nikla میں کہ صحرائے محبت کا مسافر تھا فرازؔایک جھونکا تھا کہ خوشبو کے سفر پر نکلا Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paaun – Ahmed Nadeem QasmiMaine Dekha Tha Un Dino Mein Usse – Mohsin NaqviTere Ird Gird Wo Shor Tha – Amjad Islam Amjad PoetryJo Thake Thake Se They Hosle – Mehdi Hassan Lyrics
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO