Main Khayal Hun Kisi Aur Ka Mujhe Sochta Koi Aur Hai
Main Khayal Hun Kisi Aur Ka Mujhe Sochta Koi Aur HaiSar-e-aina Mera Akas Hai Pass-e-aina Koi Aur Hai میں خیال ہوں کسی اور کا مجھے سوچتا کوئی اور ہے
سرِ آئینہ مرا عکس ہے پس ِ آئینہ کوئی اور ہے Main Kisi Ke Dast-e-talab Mein Hun To Kisi Ke Harf-e-dua Mein HunMain Naseeb Hun Kisi Aur Ka Mujhe Mangta Koi Aur Hai میں کسی کے دست ِ طلب میں ہوں تو کسی کے حرف ِ دعا میں ہوں
میں نصیب ہوں کسی اور کا مجھے مانگتا کوئی اور ہے Ajab Etibar o Be-Etibari Ke Darmiyan Hai ZindagiMain Qarib Hun Kisi Aur Ke Mujhe Jaanta Koi Aur Hai عجب اعتبار و بے اعتباری کے درمیان ہے زندگی
میں قریب ہوں کسی اور کے، مجھے جانتا کوئی اور ہے Meri Raushni Tere Khadd-o-khal Se Mukhtalif To Nahi MagarTu Qarib Aa Tujhe Dekh Loon Tu Wahi Hai Ya Koi Aur Hai مری روشنی ترے خدّ و خال سے مختلف تو نہیں مگر
تُو قریب آ تجھے دیکھ لوں تُو وہی ہے یا کوئی اور ہے Tujhe Dushmanon Ki Khabar Na Thi Mujhe Doston Ka Pata NahinTeri Dastan Koi Aur Thi Mera Waqia Koi Aur Hai تجھے دشمنوں کی خبر نہ تھی، مجھے دوستوں کا پتہ نہ تھا
تری داستاں کوئی اور تھی، مرا واقعہ کوئی اور ہے Wohi Munsifon Ki Riwayaten Wohi Faislon Ki IbaratenMera Jurm To Koi Aur Tha Pa Meri Saza Koi Aur Hai وہی منصفوں کی روایتیں، وہی فیصلوں کی عبارتیں
مرا جرم تو کوئی اور تھا، پہ مری سزا کوئی اور ہے Kabhi Laut Aaen To Puchhna Nahie Dekhna Unhein Ghaur SeJinhen Raste Mein Khabar Hui Ke Ye Rasta Koi Aur Hai کبھی لوٹ آئیں تو پوچھنا نہیں، دیکھنا انہیں غور سے
جنہیں راستے میں خبر ہوئی کہ یہ راستہ کوئی اور ہے Jo Meri Riyazat-e-Nem-Shab Ko Saleem Subh Na Mil SakiTo Phir Is Ke Mani To Ye Hue Ke Yahan Khuda Koi Aur Hai جو مری ریاضتِ نیم شب کو سلیم صبح نہ مل سکی
تو پھر اس کے معنی تو یہ ہوئے کہ یہاں خدا کوئی اور ہے Angrai Bhi Wo Lene Na Paye Utha Ke Hath – Urdu GhazalKuch Maine Kahi Hai Na Abhi Usne Suni Hai – Arzoo LakhnaviMere Hi Lahu Par Guzar Auqat Karo Ho – Kaleem Aajiz Poetry
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO