Table of Contents
Main Jahan Tumko Bulata Hun Wahan Tak Aao
Poet: Ali Sardar Jafri
main jahan tumko bulata hun wahan tak aao
meri nazron se guzar kar dil-o-jaan tak aao
میں جہاں تم کو بلاتا ہوں وہاں تک آؤ
phir ye dekho ki zamane ki hawa hai kaisi
sath mere mere firdaus-e-jawan tak aao
پھر یہ دیکھو کہ زمانے کی ہوا ہے کیسی
hausla ho to uro mere tasawwur ki tarah
meri takhyyil ke gulzar-e-jinan tak aao
حوصلہ ہو تو اڑو میرے تصور کی طرح
tegh ki tarah chalo chhord ke aaghosh-e-niyam
tir ki tarah se aaghosh-e-kaman tak aao
تیغ کی طرح چلو چھوڑ کے آغوش نیام
phul ke gird phiro bagh mein manind-e-nasim
misl-e-parwana kisi sham-e-tapan tak aao
پھول کے گرد پھرو باغ میں مانند نسیم
lo wo sadiyon ke jahannam ki haden Khatm huin
ab hai firdaus hi firdaus jahan tak aao
لو وہ صدیوں کے جہنم کی حدیں ختم ہوئیں
chhord kar wahm-o-guman husn-e-yaqin tak pahuncho
par yaqin se bhi kabhi wahm-o-guman tak aao
چھوڑ کر وہم و گماں حسن یقیں تک پہنچو
isi duniya mein dikha den tumhein jannat ki bahaar
shaikh-ji tum bhi zara ku-e-butan tak aao
اسی دنیا میں دکھا دیں تمہیں جنت کی بہار
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO