Main Is Se Pahle Ke Bikhrun Idhar Udhar Ho Jaaun
Main is se pahle ke bikhrun idhar udhar ho jaaun
Mujhe sambhaal le mumkin hai dar-ba-dar ho jaaun
میں اس سے پہلے کہ بکھروں ادھر ادھر ہو جاؤں
مجھے سنبھال لے ممکن ہے در بدر ہو جاؤں
Ye aab-o-taab jo mujh mein hai sab usi se hai
Agar wo chhod de mujh ko to main khandar ho jaaun
یہ آب و تاب جو مجھ میں ہے سب اسی سے ہے
اگر وہ چھوڑ دے مجھ کو تو میں کھنڈر ہو جاؤں
Meri madad se khajooro’n ki fasl pakne lage
Main chahta hun ke sahra ki dopahar ho jaaun
مری مدد سے کھجوروں کی فصل پکنے لگے
میں چاہتا ہوں کہ صحرا کی دوپہر ہو جاؤں
Main aas-paas ke mausam se hun tar-o-taaza
Main apne jhund se niklun to be-samar ho jaaun
میں آس پاس کے موسم سے ہوں تر و تازہ
میں اپنے جھنڈ سے نکلوں تو بے ثمر ہو جاؤں
Badi ajeeb si hiddat hai us ki yaadon mein
Agar main chhu lun paseene se tar-ba-tar ho jaaun
بڑی عجیب سی حدت ہے اس کی یادوں میں
اگر میں چھو لوں پسینے سے تر بہ تر ہو جاؤں
Main kachchi mitti ki surat hun tere haathon mein
Mujhe tu dhhaal de aise ki mo’atabar ho jaaun
میں کچی مٹی کی صورت ہوں تیرے ہاتھوں میں
مجھے تو ڈھال دے ایسے کہ معتبر ہو جاؤں
Bachi-khuchi hui saanson ke saath pahunchana
Suno hawao agar main shikasta-par ho jaaun
بچی کھچی ہوئی سانسوں کے ساتھ پہنچانا
سنو ہواؤ اگر میں شکستہ پر ہو جاؤں
Aankh Tum Ko Hi Jab Na Paai Gi – Itbaf Abrak Poetry
Kisi Ke Hijr Mein Yun Toot Kar Roya Nahi Karte – Urdu Poetry
Main Jahan Tumko Bulata Hun Wahan Tak Aao – Urdu Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO