Table of Contents
log toot jaate hain ek ghar banane mein
tum taras nahin khate bastiyan jalane mein
لوگ ٹوٹ جاتے ہیں ایک گھر بنانے میں
تم ترس نہیں کھاتے بستیاں جلانے میں
aur jaam tutenge is sharab-khane men
mausamon ke aane men mausamon ke jaane mein
اور جام ٹوٹیں گے اس شراب خانے میں
موسموں کے آنے میں موسموں کے جانے میں
har dhadakte patthar ko log dil samajhte hain
umren biit jaati hain dil ko dil banane mein
ہر دھڑکتے پتھر کو لوگ دل سمجھتے ہیں
عمریں بیت جاتی ہیں دل کو دل بنانے میں
fakhta ki majburi ye bhi kah nahin sakti
kon saanp rakhta hai us ke ashiyane mein
فاختہ کی مجبوری یہ بھی کہہ نہیں سکتی
کون سانپ رکھتا ہے اس کے آشیانے میں
dusri koi larki zindagi mein aayegi
kitni dair lagti hai us ko bhuul jaane mein
دوسری کوئی لڑکی زندگی میں آئے گی
کتنی دیر لگتی ہے اس کو بھول جانے میں
Read More:
Muhabbaton Mein Dikhawe Ki Dosti Na Mila – Bashir Badr
Sham e Firaq Ab Na Puch Aayi Or Aa Ke Tal Gayi by Faiz Ahmad Faiz
Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jayega – Ahmad Faraz Poetry
Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Keh Tu Kya Hai – Mirza Ghalib Ghazal