
Lams Ki Aanch Pe Jazbon Ne Ubaali Chaaye
Lams Ki Aanch Pe Jazbon Ne Ubaali ChaayeIshq Peeta Hai Kadak Chahaton Waali Chaaye لمس کی آنچ پہ جذبوں نے اُبالی چائےعشق پیتا ہے کڑک چاہتوں والی چائے Ketli Hijr Ki Thi Ghum Ki Bana Li ChaayeWasl Ki Pi Na Sake Ek Pyaali Chaaye کیتلی ہجر کی تھی، غم کی بنالی چائےوصل کی پی نہ سکے ایک پیالی چائے Mere Dalaan Ka Manzar Kabhi Dekho Aa KarDard Mein Doobi Hui Shaam, Sawaali Chaaye میرے دالان کا منظر کبھی دیکھو آ کردرد میں ڈوبی ہوئی شام، سوالی چائے Hum Ne Mashroob Sabhi Mazr-e-sehat Tark KiyeEk Chhodi Na Gayi Hum Se Ye Saali Chaaye ہم نے مشروب سبھی مضر صحت ترک کیےایک چھوڑی نہ گئی ہم سے یہ سالی، چائے Ye Paheli Koi Boojhe To Ke Us Ne KyunkarApne Cup Se Mere Cup Mein Bhala Daali Chaaye یہ پہیلی کوئی بوجھے تو کہ اس نے کیونکراپنے کپ سے مرے کپ میں بھلا ڈالی چائے Main Yahi Soch Raha Tha Ke Ijazat ChaahunUs Ne Phir Apne Mulazim Se Manga Li Chaaye میں یہی سوچ رہا تھا کہ اجازت چاہوںاس نے پھر اپنے ملازم سے منگالی چائے Us Se Milta Hai Mohabbat Ke Malangon Ko SukoonDil Ke Darbaar Pe Chalti Hai Dhamaali Chaaye اس سے ملتا ہے محبت کے ملنگوں کو سکوںدل کے دربار پہ چلتی ہے دھمالی چائے Ranjishein Bhool Kar Baithen Kahin Mil Kar DononApne Haathon Se Pila Khair-sugaali, Chaaye رنجشیں بھول کے بیٹھیں کہیں مل کر دونوںاپنے ہاتھوں سے پلا خیر سگالی چائے Ishq Bhi Rang Badal Leta Hai Jaan-e-AhmadThandi Ho Jaaye To Pad Jaati Hai Kaali Chaaye عشق بھی رنگ بدل لیتا ہے جان جاناںٹھنڈی ہو جائے تو پڑ جاتی ہے کالی چائے Ab Ke Saal Poonam Mein Jab Too Aayegi Milne – Nasir KazmiRishton Ki Dhoop Chaon Se Azad Ho Gaye
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO