Table of Contents
Kya Kahun Us Se Ki Jo Baat Samajhta Hi Nahin
Poet: Fatima hassan
kya kahun us se ki jo baat samajhta hi nahin
wo to milne ko mulaqat samajhta hi nahin
کیا کہوں اس سے کہ جو بات سمجھتا ہی نہیں
وہ تو ملنے کو ملاقات سمجھتا ہی نہیں
hum ne dekha hai faqat khwab khuli aankhon se
khwab thi wasl ki wo raat samajhta hi nahin
ہم نے دیکھا ہے فقط خواب کھلی آنکھوں سے
خواب تھی وصل کی وہ رات سمجھتا ہی نہیں
main ne pahunchaya use jit ke har khane mein
meri bazi thi meri mat samajhta hi nahin
میں نے پہنچایا اسے جیت کے ہر خانے میں
میری بازی تھی مری مات سمجھتا ہی نہیں
raat purwai ne us ko bhi jagaya hoga
raat kyun kat na saki raat samajhta hi nahin
رات پروائی نے اس کو بھی جگایا ہوگا
رات کیوں کٹ نہ سکی رات سمجھتا ہی نہیں
shaeri ka koi andaz samajhta hai inhen
wo mohabbat ki riwayat samajhta hi nahin
شاعری کا کوئی انداز سمجھتا ہے انہیں
وہ محبت کی روایات سمجھتا ہی نہیں
Wo Ghazal Walon Ka Usloob Samajhte Honge – Bashir Badr
Tumhain Bakhshi Hai Dil Ki Hukmarani, Aur Kya Dete
Phool Ka Shabab Kya, Husn Mahatab Kya – Lyrics
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO