Table of Contents
Kuch Tou Hawa Bhi Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi
Parveen Shakir Poetry Collection
Kuch Tou Hawa Bhi Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi
Dil Ko Khushi Kay Sath Sath, Hota Raha Malaal Bhi
کچھ تو ہوا بھی سرد تھی، کچھ تھا تیرا خیال بھی
دل کو خوشی کے ساتھ ساتھ ہوتا رہا ملال بھی
Baat Wo Adhi Raat Ki, Raat Wo Puray Chaand Ki
Chaand Bhi Aain Cheet Ka Is Pay Tera Jamaal Bhi
بات وہ آدھی رات کی، رات وہ پورے چاند کی
چاند بھی عین چیت کا اس پہ ترا جمال بھی
Sub se Nazar Bacha k wo mujh ko kuch aise dekhta
Ek Dafa to ruk gayi Gardish-e-Mah o Saal Bhi
سب سے نظر بچا کے وہ مجھ کو کچھ ایسے سیکھتا
ایک دفعہ تو رک گئی گردش ماہ و سال بھی
Dil ko Chamak Sake ga Kia, Phir bhi Tarash k Dekh Lay
Sisha Garane-Shahar k Haat ka ye Kamal Bhi
دل کو چمک سکے گا کیا، پھر بھی ترش کے دیکھ لیں
شیشہ گران شہر کے ہاتھ کا یہ کمال بھی
Us Ko Na Paa Sakay Thay Jab Dil Ka Ajeeb Haal Tha
Ab Jo Palat Kay Dekhye, Baat Thi Kuch Mohaal Bhi
اس کو نہ پا سکے تھے جب دل کا عجیب حال تھا
اب جو پلٹ کے دیکھئیے، بات تھی کچہ محال بھی
Meri Talab Tha Aik Shaks Wo Jo Nahi Mila Tu Phir
Haath Dua se Yun Gira, Bhol Gaya Sawal Bhi
مری طلب تھا ایک شخص وہ جو نہیں ملا تو پھر
ہاتھ دعا سے یوں گرا، بھول گیا سوال بھی
uss ki sukhan taraazian mere liye bhi dhaal thein
uss ki hansi mein chuph gaya apnay ghamon ka haal bhi
اس کی سخن طرازیاں مرے لئے بھی ڈھال تھیں
اس کی ہنسی میں چھپ گیا اپنے غموں کا حال بھی
Shaam Ki Na Samaj Hawa Poch Rahi Hai Ek Pata
Mouj-e-Hawa-e-Ko-e-Yaar Kuch To Mera Khayal Bhi
شام کی نا سمجھ ہوا پوچھ رہی ہے اک پتا
موج ہوائے کوئے یار، کچھ تو مرا خیال بھی
Roz Taaron Ko Numaish Mein Khalal Parta Hai – Rahat Indori Ghazal
Honton Pe Mohabbat Ke Fasane Nahi Aate – Bashir Badr