Table of Contents
Kuch Aise Zakham Bhi Dar E Parda Hum Ne Khaye Hain
Urdu Ghazal Poetry
kuch aise zakham bhi dar-parda hum ne khaye hain
jo hum ne apne rafiqon se bhi chhupaye hain
کچھ ایسے زخم بھی درِ پردہ ہم نے کھائے ہیں
جو ہم نے اپنے رقیبوں سے بھی چھپائے ہیں ye kya bataen ki hum kya ganwa ke aaye hain
bas ek zamir ba-mushkil bacha ke laye hain یہ کیا بتائیں کہ ہم کیا گنوا کے آئے ہیںبس اک ضمیر بہ مشکل بچا کے لائے ہیںab aa gaye hain to pyase na jaenge saqi
kuch aaj soch ke hum mai-kade mein aaye hain .اب آ گئے ہیں تو پیاسے نہ جائیں گے ساقیکچھ آج سوچ کے ہم میکدے میں آئے ہیں
koi hawaon se kah do idhar ka rukh na kare
charagh hum ne samajh-bujh kar jalaye hain
کوئی ہواؤں سے کہہ دے ادھر کا رخ نہ کرےچراغ ہم نے سمجھ بوجھ کر جلائے ہیں jahan bhi hum ne sada di yahi jawab mila
ye kaun log hain puchho kahan se aaye hain جہاں بھی ہم نے صدا دی یہی جواب آیایہ کون لوگ ہیں پوچھو کہاں سے آئے ہیں chaman mein dekhiye ab ke hawa kidr ki chale
khizan-nasibon ne phir aashiyan banaye hain چمن میں دیکھیے اب کے ہوا کدھر کی چلےخزاں نصیبوں نے پھر آشیاں بنائے ہیں
safar pe nikle hain hum pure ehtimam ke sath
hum apne ghar se kafan sath le ke aaye hain
سفر پہ نکلے ہیں ہم پورے اہتمام کے ساتھہم اپنے گھر سے کفن ساتھ لے کے آئے ہیں unhein parae charaghon se kya gharaz iqbal
jo apne ghar ke diye khud bujha ke aaye hain انہیں قرار، چراغوں سے کیا غرض اقبالجو اپنے گھر کے دیئے خود بجھا کے آئے ہیں Poet: Iqbal Azeem Iss Basti Ke Ik Koochey Mein – Ibn e Insha PoetryHumne Hi Lautne Ka Irada Nahi Kiya – Parveen Shakir GhazalFarz Karo Hum Ahle Wafa Hon – Urdu Poetry by Ibne Insha
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO