
Table of Contents
Kitni Zulfen Khulein Kitne Aanchal Urrey Chaand Ko Kiya Khabar
Wasi Shah Poetry
Kitni Zulfen Khulein Kitne Aanchal Urrey Chaand Ko Kiya Khabar
Kitna Maatam Huwa Kitne Aansoo Bahey Chaand Ko Kiya Khabar
کتنی زلفیں کتنے آنچل اڑے چاند کو کیا خبر
کتنا ماتم ہوا کتنے آنسو بہے چاند کو کیا خبر
Muddaton Us Ki Khuwaahish Mai Chaltey Rahe Haath Aata Nahi
Chaah Mein Is Ki Pairon Mein Hain Aablay Chaand Ko Kiya Khabar
مدتوں اس کی خواہش سے چلتے رہے ہاتھ آتا نہیں
چاہ میں اس کی پیروں میں ہیں آبلے چاند کو کیا خبر
Wo Jo Nikla Nahi To Bhataktey Rahe Hain Musaafir Kayi
Aur Luttey Rahe Hain Kayi Qaaflay Chaand Ko Kiya Khabar
وہ جو نکلا نہیں تو بھٹکتے رہے ہیں مسافر کئی
اور لٹتے رہے ہیں کئی قافلے چاند کو کیا خبر
Is Ko Daawa Bahut Meethe Pan Ka Wasi Chaandni Se Kaho
Is Ki Kirnoon Se Kitne Hi Ghar Jal Gaye Chaand Ko Kiya Khabar
اس کو دعویٰ بہت میٹھے پن کا وصیؔ چاندنی سے کہو
اس کی کرنوں سے کتنے ہی گھر جل گئے چاند کو کیا خبر
Lazim Hai Apne Aap Ki Imdad Kuchh Karun – Jaun Elia
Hatheliyon Ki Dua Phool Lay Kar Aai Ho – Urdu Poetry
Wo Ghazal Walon Ka Usloob Samajhte Honge – Bashir Badr
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO