Kisi Ko Ghar Mila Hisse Mein Ya Koi Dukaan Aai
Kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukaan aai
Main ghar mein sab se chhota tha mere hisse mein maa aai
کسی کو گھر ملا حصے میں یا کوئی دکاں آئی
میں گھر میں سب سے چھوٹا تھا مرے حصے میں ماں آئی
Yahaan se jaane waala laut kar koi nahin aaya
Main rota rah gaya lekin na wapas ja ke maa aai
یہاں سے جانے والا لوٹ کر کوئی نہیں آیا
میں روتا رہ گیا لیکن نہ واپس جا کے ماں آئی
Adhoore raaste se lautna achchha nahin hota
Bulaane ke liye duniya bhi aai to kahaan aai
ادھورے راستے سے لوٹنا اچھا نہیں ہوتا
بلانے کے لیے دنیا بھی آئی تو کہاں آئی
Kisi ko gaanw se pardes le jayegi phir shayad
Udaati rail-gaadi dhher saara phir dhuaan aai
کسی کو گاؤں سے پردیس لے جائے گی پھر شاید
اڑاتی ریل گاڑی ڈھیر سارا پھر دھواں آئی
Mere bachchon mein saari aadatein maujood hain meri
To phir in bad-naseebon ko na kyun urdu zabaan aai
مرے بچوں میں ساری عادتیں موجود ہیں میری
تو پھر ان بد نصیبوں کو نہ کیوں اردو زباں آئی
Qafas mein mausamo’n ka koi andaaza nahin hota
Khuda jaane bahaar aai chaman mein ya khizaa’n aai
قفس میں موسموں کا کوئی اندازہ نہیں ہوتا
خدا جانے بہار آئی چمن میں یا خزاں آئی
Gharaunde to gharaunde hain chattaanein toot jaati hain
Udaane ke liye aandhi agar naam-o-nishaan aai
گھروندے تو گھروندے ہیں چٹانیں ٹوٹ جاتی ہیں
اڑانے کے لیے آندھی اگر نام و نشاں آئی
Kabhi ai khush-naseebi mere ghar ka rukh bhi kar leti
Idhar pahunchi udhar pahunchi yahaan aai wahaan aai
کبھی اے خوش نصیبی میرے گھر کا رخ بھی کر لیتی
ادھر پہنچی ادھر پہنچی یہاں آئی وہاں آئی
Poet: Munawwar Rana
Yaar Hum Hain Na Tera Saath Nibhaney Waaley | Urdu Poetry
Main Jahan Tumko Bulata Hun Wahan Tak Aao – Urdu Poetry
Aankh Tum Ko Hi Jab Na Paai Gi – Itbaf Abrak Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO