Kisi Ke Hijr Mein Yun Toot Kar Roya Nahi Karte
Kisi ke hijr mein yun toot kar roya nahin karte
Ye apna ranj hai aur ranj ka charcha nahin karte
کسی کے ہجر میں یوں ٹوٹ کر رویا نہیں کرتے
یہ اپنا رنج ہے اور رنج کا چرچا نہیں کرتے
Judai ki ruton mein suratein dhundlaane lagti hain
So aise mausamon mein aaina dekha nahin karte
جدائی کی رتوں میں صورتیں دھندلانے لگتی ہیں
سو ایسے موسموں میں آئنہ دیکھا نہیں کرتے
Ziyaada se ziyaada dil bichha dete hain raste mein
Magar jis ne bichhadna ho use roka nahin karte
زیادہ سے زیادہ دل بچھا دیتے ہیں رستے میں
مگر جس نے بچھڑنا ہو اسے روکا نہیں کرتے
Hamesha ek masafat ghoomti rahti hai panw mein
Safar ke baad bhi kuchh log ghar pahuncha nahin karte
ہمیشہ اک مسافت گھومتی رہتی ہے پاؤں میں
سفر کے بعد بھی کچھ لوگ گھر پہنچا نہیں کرتے
Tani rassi pe dariya paar utarna hi muqaddar ho
To phir seenon mein gharqaabi ka darr rakkha nahin karte
تنی رسی پہ دریا پار اترنا ہی مقدر ہو
تو پھر سینوں میں غرقابی کا ڈر رکھا نہیں کرتے
Humein ruswa kiya is neend mein chalne ki aadat ne
Wagarna jaagte mein hum kabhi aisa nahin karte
ہمیں رسوا کیا اس نیند میں چلنے کی عادت نے
وگرنہ جاگتے میں ہم کبھی ایسا نہیں کرتے
‘Hasan’ jab ladkhada kar apne hi panw pe girna ho
To phir edi pe itni der tak ghooma nahin karte
حسنؔ جب لڑکھڑا کر اپنے ہی پاؤں پہ گرنا ہو
تو پھر ایڑی پہ اتنی دیر تک گھوما نہیں کرتے
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO