
Table of Contents
Kisi Ghareeb Ki Barson Ki Aarzu Ho Jaaun
Poet: Munawwar Rana
Kisi ghareeb ki barson ki aarzu ho jaaun
Main is surang se niklun to aab-ju ho jaaun
Bada haseen taqaddus hai us ke chehre par
Main us ki aankhon mein jhaankun to ba-wazu ho jaaun
Mujhe pata to chale mujh mein aib hain kya kya
Wo aaina hai to main us ke ru-ba-ru ho jaaun
Kisi tarah bhi ye veeraniyan hon khatm meri
Sharaab-khane ke andar ki haaw-hu jaaun
Meri hatheli pe honthon se aisi mohr laga
Ke umr-bhar ke liye main bhi surkh-ru ho jaaun
Kami zara si bhi mujh mein na koi rah jaaye
Agar main zakhm ki surat hun to rafu ho jaaun
Naye mizaaj ke shahro’n mein ji nahin lagta
Puraane waqto’n ka phir se main lucknow ho jaaun
کسی غریب کی برسوں کی آرزو ہو جاؤں
میں اس سرنگ سے نکلوں تو آب جو ہو جاؤں
بڑا حسین تقدس ہے اس کے چہرے پر
میں اس کی آنکھوں میں جھانکوں تو با وضو ہو جاؤں
مجھے پتہ تو چلے مجھ میں عیب ہیں کیا کیا
وہ آئنہ ہے تو میں اس کے روبرو ہو جاؤں
کسی طرح بھی یہ ویرانیاں ہوں ختم مری
شراب خانے کے اندر کی ہاؤ ہو جاؤں
مری ہتھیلی پہ ہونٹوں سے ایسی مہر لگا
کہ عمر بھر کے لئے میں بھی سرخ رو ہو جاؤں
کمی ذرا سی بھی مجھ میں نہ کوئی رہ جائے
اگر میں زخم کی صورت ہوں تو رفو ہو جاؤں
نئے مزاج کے شہروں میں جی نہیں لگتا
پرانے وقتوں کا پھر سے میں لکھنؤ ہو جاؤں
Hum Teri Dhun Mein Pareshan ,Zindagi Ae Zindagi | Urdu Poetry
Main Jahan Tumko Bulata Hun Wahan Tak Aao – Urdu Poetry
Kab Mausam-E-Bahaar Pukara Nahin Kiya – Urdu Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO