
Urdu, Poetry, Quote, Shayari, Aqwal, Sad Poetry, Urdu Poetry, Love Poetry, Islamic Poetry, Nazm, Ghazal, Iqbal, Parveen Shakir, Jaun Elia, Ahmed Faraz, Faiz Ahmed Faiz, Bashir Badr, Rahat Indori, Mohsin Naqvi, Mir Taki Mir, Mirza Ghalib, Gulzar, Tehzeeb Hafi, Javed Akhtar, Ada Jaffery, Firaq Gorakhpuri, Sahil Ludhianvi, Majrooh Sultanpuri, Nida Fazli, Wasim Barelvi, Akbar Allahabadi, Ibn-e-Insha
Khushbu Jaise Log Mile Afsane Mein – Urdu Poetry
Khushbu jaise log mile afsane mein
Ek purana khat khola anjaane mein
خوشبو جیسے لوگ ملے افسانے میں
ایک پرانا خط کھولا انجانے میں
Sham ke saye baalishton se nape hain
Chaand ne kitni der laga di aane mein
شام کے سائے بالشتوں سے ناپے ہیں
چاند نے کتنی دیر لگا دی آنے میں
Raat guzarte shayad thoda waqt lage
Dhoop undelo thodi si paimane mein
رات گزرتے شاید تھوڑا وقت لگے
دھوپ انڈیلو تھوڑی سی پیمانے میں
Jaane kis ka zikar hai is afsane mein
Dard maze leta hai jo dohrane mein
جانے کس کا ذکر ہے اس افسانے میں
درد مزے لیتا ہے جو دہرانے میں
Dil par dastak dene kaun aa nikla hai
Kis ki aahat sunta hun virane mein
دل پر دستک دینے کون آ نکلا ہے
کس کی آہٹ سنتا ہوں ویرانے میں
Hum is mod se uth kar agle mord chale
Un ko shayad umar lagegi aane mein
ہم اس موڑ سے اٹھ کر اگلے موڑ چلے
ان کو شاید عمر لگے گی آنے میں گلزار Ab Aye Meray Ehsaas-e-Junoon, Kya Muje Dena – PoetryMaine Dekha Tha Un Dino Mein Usse – Mohsin NaqviMohabbat Ki Duniya Main Mashoor Kar Doon – Ghazal LyricsWohi Bewaja Si Udasiyan Kabhi Wehshatin Tere Shehar Mein
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO