Table of Contents
Khud Waqt Mere Sath Chala Wo Bhi Thak Gaya
Mohsin Naqvi Poetry
Khud Waqt Mere Sath Chala Wo Bhi Thak Gaya
Main Teri Justajo Mein Bahot Door Tak Gaya
خود وقت مرے ساتھ چلا وہ بھی تھک گیا
میں تیری جستجو میں بہت دور تک گیا
Kuch Aur Abbr Chand K Maathy Py Jhuk Gaya
Kuch Aur Tergi Ka Muqadar Chamak Gaya
کچھ اور ابر چاند کے ماتھے پہ جھک گئے
کچھ اور تیرگی کا مقدر چمک گیا
Kal Jis K Qareeb Se Thi Gurezaa’n Meri Hayat
AaJ Us K Naam Par Bhi Mera Dil Dharhk Gaya
کل جس کے قرب سے تھی گریزاں مری حیات
آج اس کے نام پر بھی میرا دل دھڑک گیا
Dushman Thi Us Ki Aankh Jo Mere WaJood Ki
Main Harf Ban Ke Us Ki Zubaa’n Py Attak Gaya
دشمن تھی اُس کی آنکھ جو میرے وجود کی
میں حرف بن کے اس کی زباں پر اٹک گیا
Mat Pooch Fiqr-E-Zeest Ki Ghaarat Garee Ka Haal
Ehsaas Barf Barf Tha Lekin Bharhk Gaya
مت پوچھ فکرِ زیست کی غارت گری کا حال
احساس برف برف تھا لیکن بھڑک گیا
Ehbaab Jabar-E-Zeest K Zindaa’n Me Qaid They
Mohsin Main Khud Saleb-E-Ghazal Pay Latak Gaya
احباب جبرِ زیست کے زنداں میں قید تھے
محسنؔ میں خود صلیبِ غزل پر لٹک گیا
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO