Khoon-e-Dil Se Kasht-e-Gham Ko Sainchta Rehta Hoon Mein
Khoon-e-dil se kasht-e-gham ko seenchta rahta hun main
Khaali kaghaz par lakeerein kheenchta rahta hun main
خون دل سے کشت غم کو سینچتا رہتا ہوں میں
خالی کاغذ پر لکیریں کھینچتا رہتا ہوں میں
Aaj se mujh par mukammal ho gaya deen-e-firaaq
Haan tasawwur mein bhi ab tujh se juda rahta hun main
آج سے مجھ پر مکمل ہو گیا دین فراق
ہاں تصور میں بھی اب تجھ سے جدا رہتا ہوں میں
Tu dayar-e-husn hai oonchi rahe teri faseel
Main hun darwaza mohabbat ka, khula rahta hun main
تو دیار حسن ہے اونچی رہے تیری فصیل
میں ہوں دروازہ محبت کا، کھلا رہتا ہوں میں
Shaam tak kheenche liye phirte hain is duniya ke kaam
Subah tak farsh-e-nadamat par pada rahta hun main
شام تک کھینچے لیے پھرتے ہیں اس دنیا کے کام
صبح تک فرش ندامت پر پڑا رہتا ہوں میں
Haan kabhi mujh par bhi ho jaata hai mausam ka asar
Haan kisi din shaaki-e-aab-o-hawa rahta hun main
ہاں کبھی مجھ پر بھی ہو جاتا ہے موسم کا اثر
ہاں کسی دن شاکیٔ آب و ہوا رہتا ہوں میں
Ahl-e-duniya se ta’alluq qat’a hota hi nahi
Bhool jaane par bhi soorat-aashna rahta hun main
اہل دنیا سے تعلق قطع ہوتا ہی نہیں
بھول جانے پر بھی صورت آشنا رہتا ہوں میں Tujh Se Gilay Karoon Tujhe Janaan Manaaon Main – Jaun EliaHar Shaam Kehty Ho Kal Sham Milen Gay – Sad PoetryKoi Yeh Kaise Bataye Ki Wo Tanha – Kaifi Azmi Poetry
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO