Khizan Ki Rut Mein Gulab Lehja – By Mubarik Siddiqi
Khizan ki rut mein gulab lehja bana ke rakhna kamal yeh hai,
Hawa ki zad main diya jalana, jala ke rakhna kamal yeh hai,
خزاں کی رت میں گلاب لہجہ بنا کے رکھنا کمال یہ ہے
Zara si larzish pe toRr dete hain sab talluq zamane wale
So aese weson se bhi talluq, bana ke rakhna kamal yeh hai
ذرا سی لغزش پہ توڑ دیتے ہیں سب تعلق زمانے والے
Kisi ko dena yeh mashwra ke, woh dukh bichaRrne ka bhool jaye
Aur aese lamhe main apne aansuu chupa ke rakhna kamal yeh hai
کسی کو دینا یہ مشورہ کہ وہ دکھ بچھڑنے کا بھول جائے
Khayal apna, mizaj apna, pasand apni, kamal kya hai
Jo yaar chahe woh haal apna bana ke rakhna kamal yeh hai
خیال اپنا ، مزاج اپنا ، پسند اپنی ، کمال کیا ہے
Kisi ki raah se khuda ki khatir, utha ke kante, hatta ke pathar
Phir us ke aage nigaah apni jhuka ke rakhna kamal yeh hai
کسی کی راہ سے خدا کی خاطر ، اٹھا کے کانٹے ، ہٹا کے
پتھر پھر اس کے آگے نگاہ اپنی جھکا کے رکھنا کمال یہ ہے
Woh jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi laRrkhaRraye, shikast khaye
Labon pe apne woh muskurahat, sajaa ke rakhna kamal yeh hai
وہ جس کو دیکھے تو دکھ کا لشکر بھی لڑکھڑائے شکست کھائے
Hazaar taaqat ho, sau daleelen hon, phir bhi lehje main aajzi se
Addab ki lazzat, dua ki khushbu, basaa ke rakhna kamal yeh hai
ہزار طاقت ہو، سو دلیلیں ہوں پھر بھی لہجے میں عاجزی سے