Table of Contents
Khird-Mandon Se Kya Puchon Ke Meri Ibtida Kya Hai
(Bal-e-Jibril)
Khird-Mandon Se Kya Puchon Ke Meri Ibtida Kya Hai
Ke Main Iss Fikar Mein Rehta Hun, Meri Intiha Kya Hai
خرد مندوں سے کیا پوچھوں کہ میری ابتدا کیا ہے
کہ میں اس فکر میں رہتا ہوں میری انتہا کیا ہے
Khudi Ko Kar Buland Itna Ke Har Taqdeer Se Pehle
Khuda Bande Se Khud Puche, Bata Teri Raza Kya Hai
خودی کو کر بلند اتنا کہ ہر تقدیر سے پہلے
خدا بندے سے خود پوچھے بتا تیری رضا کیا ہے
Maqam-e-Guftugu Kya Hai Agar Main Keemiya-Gar Hun
Yehi Souz-e-Nafas Hai, Aur Meri Keemiya Kya Hai
مقام گفتگو کیا ہے اگر میں کیمیا گر ہوں
یہی سوز نفس ہے اور میری کیمیا کیا ہے
Nazar Ayeen Mujhe Taqdeer Ki Gehraiyan Uss Mein
Na Puch Ae Hum-Nasheen Mujh Se Woh Chashm-e-Surma Sa Kya Hai
نظر آئیں مجھے تقدیر کی گہرائیاں اس میں
نہ پوچھ اے ہم نشیں مجھ سے وہ چشم سرمہ سا کیا ہے
Agar Hota Woh Majzoob*-e-Farangi Iss Zamane Mein
To Iqbal Uss Ko Samjhata Maqam-e-Kibriya Kya Hai
اگر ہوتا وہ مجذوب فرنگی اس زمانے میں
تو اقبالؔ اس کو سمجھاتا مقام کبریا کیا ہے
Nawa-e-Subahgahi Ne Jigar Khoon Kar Diya Mera
Khudaya Jis Khata Ki Ye Saza Hai, Woh Khata Kya Hai!
نوائے صبح گاہی نے جگر خوں کر دیا میرا
خدایا جس خطا کی یہ سزا ہے وہ خطا کیا ہے Kabhi Aye Haqeeqat-e-Muntazir – Allama Iqbal PoetryTere Ishq Ki Inteha Chahta Hoon – Allama Iqbal PoetrySitaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hai | Allama Iqbal PoetryAllama Iqbal Poetry | Allama Iqbal 2 Line Motivational Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO