khak Udti Hai Raat Bhar Mujh Mein
khak udti hai raat bhar mujh mein
kon phirta hai dar-ba-dar mujh mein
خاک اُڑتی ہے رات بھر مجھ میں
کون پھرتا ہے در بدر مجھ میں
mujh ko khud mein jagah nahin milti
tu hai maujud is qadar mujh mein
مجھ کو خود میں جگہ نہیں ملتی
تو ہے موجود اس قدر مجھ میں
mausam-e-girya ek guzarish hai
gham ke pakne talak thahr mujh mein
موسمِ گریہ ایک گزارش ہے
غم کے پکنے تلک ٹھہر مجھ میں
be-ghari ab mera muqaddar hai
ishq ne kar liya hai ghar mujh mein
بے گھری اب مرا مقدر ہے
عشق نے کر لیا ہے گھر مجھ میں
aap ka dhyan khun ke manind
daudta hai idhar-udhar mujh mein
آپ کا دھیان خون کے مانند
دوڑتا ہے اِدھر اُدھر مجھ میں
hausla ho to baat ban jaye
hausla hi nahin magar mujh mein
حوصلہ ہو تو بات بن جائے
حوصلہ ہی نہیں مگر مجھ میں
Hum Ko Tou Gardish E Halaat Pe Rona Aaya – Sad Ghazal
Kon Pursan e Haal Hai Mera Zinda Rehna Kamal Hai Mera
Koi Zabt De Na jalal De Mujhe Sirf Itna Kamal De – Islamic Poetry
Kitna Mushkil Hai Aziyat Ye Gawara Karna – Urdu Sad Poetry
FOLLOW US:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
● Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO