Khabar Kya Thi Na Milne Ke Naye Asbaab Kar Dega
khabar kya thi na milne ke nae asbab kar dega
wo kar ke khwab ka wada mujhe be-khwab kar dega
خبر کیا تھی نہ ملنے کے نئے اسباب کر دے گا
kisi din dekhna wo aa ke meri kisht-e-viran par
uchatti si nazar dalega aur shadab kar dega
کسی دن دیکھنا وہ آ کے میری کشت ویراں پر
wo apna haq samajh kar bhul jaega har ek ehsan
phir is rasm-e-ana ko dakhil-e-adab kar dega
وہ اپنا حق سمجھ کر بھول جائے گا ہر اک احساں
na karna zom us ka tarz-e-istidlal aisa hai
ki naqsh-e-sang ko tahrir-e-mauj-e-ab kar dega
نہ کرنا زعم اس کا طرز استدلال ایسا ہے
asir apne khayalon ka bana kar ek din mohsin
khabar kya thi mujhe mere liye kamyab kar dega
اسیر اپنے خیالوں کا بنا کر ایک دن محسنؔ
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO