Table of Contents
Kathin Tanhaiyon Se Kon Khela Mein Akela
Urdu Shayari by Mohsin Naqvi
Kathin tanhaiyon se kon khela mein akela
Bhara ab bhi mere gaon ka mela mein akela
کٹھن تنہائیوں سے کون کھیلا میں اکیلا
بھرا اب بھی مرے گاؤں کا میلہ میں اکیلا
Bichar kar tujhse mein shab bhar na soya kaun roya
Ba-juz mere ye dukh bhi kis ne jhela mein akela
بچھڑ کر تجھ سے میں شب بھر نہ سویا کون رویا
بجز میرے یہ دکھ بھی کس نے جھیلا میں اکیلا
Ye be-awaz banjar ban ke basi ye udasi
Ye dahshat ka safar jangal ye bela mein akela
یہ بے آواز بنجر بن کے باسی یہ اداسی
یہ دہشت کا سفر جنگل یہ بیلہ میں اکیلا
Mein dekhun kab talak manzar suhane sab purane
Wahi duniya wahi dil ka jhamela mein akela
میں دیکھوں کب تلک منظر سہانے سب پرانے
وہی دنیا وہی دل کا جھمیلا میں اکیلا
Wo jis ke khauf se sahra sidhaare log sare
Guzarne ko hai tufan ka wo rela mein akela
وہ جس کے خوف سے صحرا سدھارے لوگ سارے
گزرنے کو ہے طوفاں کا وہ ریلا میں اکیلا
Chehra Dekhein Tere Hont Aur Palkein Dekhein – Tahzeeb Hafi
Is Aik Dar Se Khwab Dekhta Nahi – Tehzeeb Haafi Poetry
Ab Apni Rooh Ke Chhaalon Ka Kuch Hisaab Karun – Rahat Indori
Ab Tere Mere Beech Zara Fasla Bhi Ho – Bashir Badr Poetry
FOLLOW US:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
● Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO