Table of Contents
Karun Na Yaad Magar Kis Tarah Bhulaun Usse
Ahmad Faraz Poetry
karun na yaad magar kis tarah bhulaun usse
ghazal bahana karun aur gungunaun usse
کروں نہ یاد، مگر کس طرح بھلاؤں اُسے
غزل بہانہ کروں اور گنگناؤں اسے
wo Khar Khar hai shakh-e-gulab ki manind
main zakhm zakhm hun phir bhi gale lagaun usse
main zakhm zakhm hun phir bhi gale lagaun usse
وہ خار خار ہے شاخِ گلاب کی مانند
میں زخم زخم ہوں پھر بھی گلے لگاؤں اسے
ye log tazkire karte hain apne logon ke
main kaise baat karun ab kahan se laun usse
main kaise baat karun ab kahan se laun usse
یہ لوگ تذکرے کرتے ہیں اپنے لوگوں کے
میں کیسے بات کروں، اب کہاں سے لاؤں اسے
magar wo zud-faramosh zud-ranj bhi hai
ki ruth jaye agar yaad kuch dilaun usse
ki ruth jaye agar yaad kuch dilaun usse
مگر وہ زود فراموش، زود رنج بھی ہے
کہ روٹھ جائے، اگر یاد کچھ دلاؤں اسے
wohi jo daulat-e-dil hai wahi jo rahat-e-jaan
tumhaari baat pe ai naseho ganwaun usse
tumhaari baat pe ai naseho ganwaun usse
وہی جو دولتِ دل ہے وہی جو راحتِ جاں
تمہاری بات پہ اے ناصحو! گنواؤں اسے
jo ham-safar sar-e-manzil bichar raha hai faraz
ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun usse
ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun usse
جو ہمسفر سرِ منزل بچھڑ رہا ہے فراز
عجب نہیں ہے اگر یاد بھی نہ آؤں اسے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO