Table of Contents
Kamal-e-Zabt Ko Khud Bhi Tou Azmaungi
Parveen Shakir Poetry
Kamal-e-zabt ko khud bhi tou azmaungi
Main apne hath se us ki dulhan sajaungi
کمال ضبط کو خود بھی تو آزماؤں گی
میں اپنے ہاتھ سے اس کی دلہن سجاؤں گی
Supurd kar k use chandni k hathon
Main apne ghar k andheron ko laut aungi
سپرد کر کے اسے روشنی کے ہاتھوںمیں
میںاپنے گھر کے اندھیروں میں لوٹ آؤں گی
Badan k karb ko wo bhi samajh na payega
Main dil main roungi ankhon main muskuraungi
بدن کے قرب کو وہ بھی نہ سمجھ پائے گا
میںدل میں رؤں گی آنکھوںمیںمسکراؤں گی
Wo kya gaya k rafaqat k sare lutf gaye
Main kis se ruth sakungi kise manaungi
وہ کیا گیا کہ رفاقت کے سارے لطف گئے
میں کس سے روٹھ سکوںگی کسے مناؤں گی
Wo ik rishta-e-benam bhi nahin lekin
Main ab bhi us k isharon pe sar jhukaungi
وہ ایک رشتہ بےنام بھی نہیںلیکن
میںاب بھی اس کے اشاروں پہ سر جھکاؤں گی
Bicha diya tha gulabon k sath apna wajud
Wo so k uthe to khwabon ki rakh uthaungi
Ab us ka fan to kisi aur se mansub hua
Main kis ki nazam akele main gungunaungi
Jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
Wo kah raha tha k main us ko bhul jaungi
جواز ڈھونڈ رہا تھا نئی محبت کا
وہ کہہ رہا تھا کہ میںاس کو بھول جاؤں گی
Ab Bhala Chord ke Ghar kia Karty – Parveen Shakir Poetry
Ab Woh Toofan Hai Na Shor Hawaon Jaisa – Mohisn Naqvi Poetry