
Table of Contents
Kahin Chand Rahon Mein Kho Gaya
Bashir Badr Shayari
kahin chand rahon mein kho gaya khain chandni bhi bhatak gayi mein charagh wo bhi bujha howa, meri raat kesey chamak gayi کہیں چاند راہوں میں کھو گیا کہیں چاندنی بھی بھٹک گئیمیں چراغ وہ بھی بجھا ہوا میری رات کیسے چمک گئی meri dastaan ka urooj tha, teri narm palkon ki chaon mein merey sath tha tujhey jagna, teri ankh kesey jhapak gayi مری داستاں کا عروج تھا تری نرم پلکوں کی چھاؤں میںمیرے ساتھ تھا تجھے جاگنا تری آنکھ کیسے جھپک گئی kabhi hum miley bhi to kia miley, wohi dorian wohi fasley na kabhi hamarey qadam barhey, na kabhi tumhari jhijhak gayi بھلا ہم ملے بھی تو کیا ملے وہی دوریاں وہی فاصلےنہ کبھی ہمارے قدم بڑھے نہ کبھی تمہاری جھجک گئی Tere Hath se Mere Hont tak wohi intzar ki Piyas hai Mere Naam ki jo Sharab thi kahin raste mein Chhalak gayi ترے ہاتھ سے مرے ہونٹ تک وہی انتظار کی پیاس ہے مرے نام کی جو شراب تھی کہیں راستے میں چھلک گئی tujhey bhool janey ki koshishain, kabhi kamyaab na ho sakin teri yaad shakh-e-gulab hai, jo hawa chali to lachak gayi تجھے بھول جانے کی کوششیں کبھی کامیاب نہ ہوسکیںتری یاد شاخ گلاب ہے جو ہوا چلی تو لچک گئی Dil Mein Ab Yun Tere Bhoole Huye Gham Aate Hain – Faiz Ahmad FaizAb Aur Kya Kisi Se Marasim Barhain Hum – Ahmad Faraz PoetryAur Tou Koi Bas Na Chalega Hijr Ke Dard Ke Maron Ka – Ibn e InshaGaye Mausam Mein Jo Khilte The Gulabon Ki Tarah – Parveen ShakirSUBSCRIBE OUR YOUTUBE CHANNEL!