Table of Contents
Kahin Akele Mein Mil Kar Jhinjhord Dunga Ussay
Rahat Indori Poetry Collection
kahin akele mein mil kar jhinjhord dunga ussay
jahan jahan se woh toota hai jord dunga ussay
کہیں اکیلے میں مل کر جھنجھوڑ دوں گا اسے
جہاں جہاں سے وہ ٹوٹا ہے جوڑ دوں گا اسے
mujhe woh chord gaya ye kamal hai us ka
irada main ne kiya tha ki chord dunga ussay
مجھے وہ چھوڑ گیا یہ کمال ہے اس کا
ارادہ میں نے کیا تھا کہ چھوڑ دوں گا اسے
badan chura ke woh chalta hai mujh se shisha-badan
ussay ye dar hai ki main tod phord dunga ussay
بدن چرا کے وہ چلتا ہے مجھ سے شیشہ بدن
اسے یہ ڈر ہے کہ میں توڑ پھوڑ دوں گا اسے
pasine bantta phirta hai har taraf suraj
kabhi jo haath laga to nichod dunga ussay
پسینے بانٹتا پھرتا ہے ہر طرف سورج
کبھی جو ہاتھ لگا تو نچوڑ دوں گا اسے
mazah chakha ke he mana hoon main bhi dunya ko
samajh rahi thi ki aise he chord dunga ussay
مزہ چکھا کے ہی مانا ہوں میں بھی دنیا کو
سمجھ رہی تھی کہ ایسے ہی چھوڑ دوں گا اسے
Teri Har Baat Mohabbat Mein Gawara Kar Ke – Rahat Indori
Aankh Mein Pani Rakho Honton Pe Chingari Rakho – Rahat Indori Ghazal
Zindagi Kya Hue Woh Apne Zamane Wale – Urdu Poetry Collection
Parakhna Mat Parakhne Mein Koi Apna Nahi Rehta – Bashir Badr