Table of Contents
Kabhi To Sham Dhale Apne Ghar Gaye
Bashir Badr Poetry
Kabhi To Sham Dhale Apne Ghar Gaye Hote
Kisi Ki Aankh Mein Rehkar Sanvar Gaye Hote
کبھی تو شام ڈھلے اپنے گھر گئے ہوتے
کسی کی آنکھ میں رہ کر سنور گئے ہوتے
Singar daan Mein Rehte Ho Aaine Ki Tarah
Kisi Ke Hath Se Girkar Bikhar Gaye Hote
سنگار دان میں رہتے ہو آئنے کی طرح
کسی کے ہاتھ سے گر کر بکھر گئے ہوتے
Ghazal Ne Behte Hue Phool Chun Liye Warna
Ghamon Mein Doob Ke Hum Mar Gaye Hote
غزل نے بہتے ہوئے پھول چن لیے ورنہ
غموں میں ڈوب کر ہم لوگ مر گئے ہوتے
Ajeeb Raat Thi Kal Tum Bhi Aake Laut Gaye
Jab Aa Gaye The To Pal Bhar Thehar Gaye Hote
عجیب رات تھی کل تم بھی آ کے لوٹ گئے
جب آ گئے تھے تو پل بھر ٹھہر گئے ہوتے
bahut dino se hai dil apna khali- khali sa
khushi nahi tou udaasi se bhar gaye hote
khushi nahi tou udaasi se bhar gaye hote
بہت دنوں سے ہے دل اپنا خالی خالی سا
خوشی نہیں تو اداسی سے بھر گئے ہوتے
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO