Kabhi Khushi Se Khushi Ki Taraf Nahin Dekha
Kabhi khushi se khushi ki taraf nahin dekha
Tumhaare baad kisi ki taraf nahin dekha
Ye soch kar ke tera intizaar laazim hai
Tamam umr ghadi ki taraf nahin dekha
Yahaan to jo bhi hai aab-e-rawaa’n ka aashiq hai
Kisi ne khushk nadi ki taraf nahin dekha
Wo jis ke waaste pardes ja raha hun main
Bichhadte waqt usi ki taraf nahin dekha
Na rok le humein rota hua koi chehra
Chale to mud ke gali ki taraf nahin dekha
Bichhadte waqt bahut mutmaeen the hum dono’n
Kisi ne mud ke kisi ki taraf nahin dekha
Rawish buzurgon ki shaamil hai meri ghutti mein
Zaruratan bhi sakhi ki taraf nahin dekha
کبھی خوشی سے خوشی کی طرف نہیں دیکھا
تمہارے بعد کسی کی طرف نہیں دیکھا
یہ سوچ کر کہ ترا انتظار لازم ہے
تمام عمر گھڑی کی طرف نہیں دیکھا
یہاں تو جو بھی ہے آب رواں کا عاشق ہے
کسی نے خشک ندی کی طرف نہیں دیکھا
وہ جس کے واسطے پردیس جا رہا ہوں میں
بچھڑتے وقت اسی کی طرف نہیں دیکھا
نہ روک لے ہمیں روتا ہوا کوئی چہرہ
چلے تو مڑ کے گلی کی طرف نہیں دیکھا
بچھڑتے وقت بہت مطمئن تھے ہم دونوں
کسی نے مڑ کے کسی کی طرف نہیں دیکھا
روش بزرگوں کی شامل ہے میری گھٹی میں
ضرورتاً بھی سکھی کی طرف نہیں دیکھا
Zindagi Aadhi Hai, Adhoori Hai – Urdu Poetry | Urdunama
Hum Teri Dhun Mein Pareshan ,Zindagi Ae Zindagi | Urdu Poetry
Lazim Hai Apne Aap Ki Imdad Kuchh Karun – Jaun Elia
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO