Table of Contents
Kabhi Aye Haqeeqat-e-Muntazir Nazar Aa Libas-e-Majaz Mein
Ke Hazaron Sajde Tadap Rahe Hain Meri Jabeen-e-Niaz Mein
کبھی اے حقیقت منتظر نظر آ لباس مجاز میں
Tarb Ashnaye Kharosh Ho, Tu Nawa Hai Mehram-e-Gosh Ho
Woh Surood Kya Ke Chupa Huwa Ho Sakoot-e-Parda-e-Saaz Mein
طرب آشنائے خروش ہو تو نوا ہے محرم گوش ہو
Tu Bacha Bacha Ke Na Rakh Isse, Tera Aaeena Hai Woh Aaeena
Ke Shikast Ho To Aziz Tar Hai Nigah-e-Aaeena Saaz Mein
تو بچا بچا کے نہ رکھ اسے ترا آئنہ ہے وہ آئنہ
Dam-e-Tof Karmak-e-Shama Ne Ye Kaha Ke Woh Asar-e-Kuhan
Na Teri Hikayat-e-Souz Mein, Na Meri Hadees-e-Gudaz Mein
Na Kaheen Jahan Mein Aman Mili, Jo Aman Mili To Kahan Mili
Mere Jurm-e-Khana Kharab Ko Tere Afuw-e-Banda Nawaz Mein
نہ کہیں جہاں میں اماں ملی جو اماں ملی تو کہاں ملی
Na Woh Ishq Mein Raheen Garmiyaan, Na Woh Husn Mein Raheen Shaukiyan
Na Woh Ghaznavi Mein Tarap Rahi, Na Kham Hai Zulf-e-Ayaz Mein
نہ وہ عشق میں رہیں گرمیاں نہ وہ حسن میں رہیں شوخیاں
Jo Mein Sar Basajda Huwa Kabhi To Zameen Se Ane Lagi Sada
Tera Dil To Hai Sanam Ashna, Tujhe Kya Mile Ga Namaz Mein
میں جو سر بہ سجدہ ہوا کبھی تو زمیں سے آنے لگی صدا
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO