
Kabhi Aah Lab Pe Machal Gayi Kabhi Ashk Ankh Se Dhal Gaye
kabhi aah lab pe machal gayi, kabhi aashak aankh se dhal gaye
yeh tumhare gham ke charag hai, kabhi bujh gaye kabhi jaal gaye
main khayal-o-khawab ki mahfilein, na bakadr-e-shauk saja saka
tere ek nazar ke saath hi, mere sab iraaday badal gaye
kabhi rang mein,kabhi roop mein, kabhi chaun mein,kabhi dhoop mein
kahin aaftab-e-nazar hai woh, kabhi mahatab mein dhal gaye
jo fana huye gham-e-ishq mein, unhe zindagi ka na gham hua
jo na apni aag mein jal sake, woh parayi aag mein jal gaye
tha unhe bhi meri traha junoon, to phir un mein aur mujh mein phark kyun
main garift-e-gham se na bach saka, woh hudud-e-gham se nikal gaye
کبھی آہ لب پہ مچل گئی کبھی اشک آنکھ سے ڈھل گئےیہ تمہارے غم کے چراغ ہیں کبھی بجھ گئے کبھی جل گئے میں خیال و خواب کی محفلیں نہ بقدرِ شوق سجا سکاتیری ایک نظر کے ساتھ ہی میرے سب ارادے بدل گئے کبهی رنگ میں کبهی روپ میں کبھی چھاؤں میں کبھی دھوپ میںکہیں آفتاب نظر ہیں وہ کہیں مہتاب میں ڈھل گئے جو فنا ہوئے غمِ عشق میں انہیں زندگی کا نہ غم ہواجو نہ اپنی آگ میں جل سکے وہ پرائی آگ میں جل گئے تھا انہیں بھی میری طرح جنون تو پھر ان میں مجھ میں یہ فرق کیوںمیں گرفتِ غم سے نہ بچ سکا وہ حدودِ غم سے نکل گئے رشید کامل Na Haara Hai Ishq Na Duniya Thaki Hai – Urdunama.netMile Bina Hi Bichharne Ke Dar Se Laut Aaye – GhazalQurbat Ki Teri Pyas Hai Wesay To Theek Hoon – Sad love Poetry
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO