
Table of Contents
Kab Yaad Mein Tera Sath Nahi by Faiz Ahmad Faiz
کب یاد میں تیرا ساتھ نہیں، کب ہاتھ میں تیرا ہاتھ نہیں
Kab yaad mein tera sath nahi, kab haath mein tera hath nahi
Sad-shukr ki apni raaton mein ab hijr ki koi raat nahi
کب یاد میں تیرا ساتھ نہیں، کب ہاتھ میں تیرا ہاتھ نہیں
صد شُکر کہ اپنی راتوں میں اب ہجر کی کوئی رات نہیں
Mushkil hai agar haalaat wahaan, dil bech aayen, jaan de aayen
Dilwalon, kucha-e-jaanaan mein kya aise bhi haalaat nahi
مشکل ہیں اگر حالات وہاں،دل بیچ آئیں جاں دے آئیں
دل والو کوچہء جاناں میں، کیا ایسے بھی حالات نہیں
Jis dhaj se koi maqtal mein gaya, woh shaan salaamat rehti hai
Yeh jaan to aani jaani hain is jaan ki to koi baat nahi
جس دھج سے کوئی مقتل میں گیا،وہ شان سلامت رہتی ہے
یہ جان تو آنی جانی ہے،اس جاں کی تو کوئی بات نہیں
Maidaan-e-wafaa darbaar nahin yahaan naam-o-nasab ki pooch kahaan
Aashiq to kisi ka naam nahin, kuch ishq kisi ki jaat nahi
میدانِ وفا دربار نہیں ، یاں نام و نسب کی پوچھ کہاں
عاشق تو کسی کا نام نہیں، کچھ عشق کسی کی ذات نہیں
Dar baazi ishq ki baazi hai to chalo laga do darr kaisa
Gar jeet gaye to kya kehna, hare bhi to baazi maat nahi
گر بازی عشق کی بازی ہے،جو چاہو لگا دو ڈر کیسا
گرجیت گئے تو کیا کہنا، ہارے بھی تو بازی مات نہیں
Read More:
Nahi Nigah Mein Manzil Tou Justuju Hi Sahi – Faiz Ahmad Faiz
Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain – Ahmad Faraz Poetry
Seena Dehak Raha Ho Tou Kya Chup Rahe Koi – Jaun Elia Poetry
Koi Umeed Bar Nahi Aati – کوئی امّید بر نہیں آتی – Mirza Ghalib