Table of Contents
Kab Thahrega Dard Ae dil Kab Raat Basar Hogi
Faiz Ahmad Faiz
kab thahrega dard ae dil kab raat basar hogi
sunte the woh aeinge sunte the sahar hogi
کب ٹھہرے گا درد اے دل، کب رات بسر ہوگی
سنتے تھے وہ آئیں گے، سنتے تھے سحر ہوگی
kab jaan lahoo hogi kab ashk guhar hoga
kis din tiri shunwai ae dida-e-tar hogi
کب جان لہو ہوگی، کب اشک گہر ہوگا
کس دن تری شنوائی اے دیدۂ تر ہوگی
kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-khana
kab subh-e-sukhan hogi kab sham-e-nazar hogi
کب مہکے گی فصلِ گل، کب بہکے گا میخانہ
کب صبحِ سخن ہوگی، کب شامِ نظر ہوگی
waa’iz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai
ab shahr mein yaron ki kis tarah basar hogi
واعظ ہے نہ زاہد ہے، ناصح ہے نہ قاتل ہے
اب شہر میں یاروں کی کس طرح بسر ہوگی
kab tak abhi rah dekhain ae qamat-e-janana
kab hashr mua’yan hai tujh ko to khabar hogi
کب تک ابھی رہ دیکھیں اے قامتِ جانانہ
کب حشر معیّن ہے تجھ کو تو خبر ہوگی
Read More:
Raaz-e-Ulfat Chupa Ke Dekh Liya – Faiz Ahmad Faiz Poetry
Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain – Ahmad Faraz Poetry
Ab Ke Hum Bichade To Shayad Kabhi – Ahmad Faraz Poetry
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhaane Ke Liye Aa – Ahmad Faraz Poetry
SUBSCRIBE OUR YOUTUBE CHANNEL!
Faiz Ahmed Faiz – ‘Kab Thehray Ka Dard Aey Dil’ | Urdu Poetry