
Table of Contents
Kab Tak Dil Ki Khair Manayein
Faiz Ahmad Faiz Poetry Lyrics
Kab Tak Dil Ki Khair Manayein , Kab Tak Raah Dikhlaao Gay
Kab Tak Chain Ki Mohlat Do Gay, Kab Tak Yaad Na Aao Gay
کب تک دل کی خیر منائیں کب تک رہ دکھلاؤ گے
کب تک چَین کی مہلت دو گے کب تک یاد نہ آؤ گے
Beeta Deed Ummed Ka Mousam , Khaak Urti Hai Aankhon Main
Kab Bhejo Gay Dard Ka Baadal , Kab Barkha Barsaao Gay
بیتا دید امید کا موسم خاک اڑتی ہے آنکھوں میں
کب بھیجو گے درد کا بادل کب برکھا برساؤ گے
Ehad e Wafa Ya Tark e Mohabbat , Jo Chaho So Aap Karo
Apnay Bus Ki Baat Hi Kiya Hai , Hum Say Kiya Manwao Gay
عہد وفا یا ترک محبت جو چاہو سو آپ کرو
اپنے بس کی بات ہی کیا ہے ہم سے کیا منواؤ گے
Kis Nay Wasl Ka Sooraj Dekha , Kis Par Hijr Ki Raat Dhali
Gaisou’n Waley Kon The Kiya The , Un Ko Kiya Jatlao Gay
کس نے وصل کا سورج دیکھا کس پر ہجر کی رات ڈھلی
گیسوؤں والے کون تھے کیا تھے ان کو کیا جتلاؤ گے
Faiz Dilon Kay Bhaag Mein Hai , Ghar Bharna Bhi Lut Jana Bhi
Tum Us Husn Kay Lutf o Karam Pe Kitnay Din Itrao Gay
فیضؔ دلوں کے بھاگ میں ہے گھر بھرنا بھی لٹ جانا بھی
تم اس حسن کے لطف و کرم پر کتنے دن اتراؤ گے
Tumhari Yaad Ke Jab Zakhm Bharne Lagte Hain – Faiz Ahmed Faiz
Baat Bas Se Nikal Chali Hai – Faiz Ahmad Faiz Poetry
Two Line Urdu Shayari Collection ~ Sad Love Urdu Shayari
Sharma Gaye Laja Gaye Daman Churda Gaye – Jigar Muradabadi Poetry
FOLLOW US:
● Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
● Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
● Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO