![Jo Dil Mein, Ankhon Ke Hawalay Nahi Karna - Ghazal](https://urdunama.info/wp-content/uploads/2021/08/Untitled-59-2.jpg)
Jo Dil Mein, Ankhon Ke Hawalay Nahi Karna – Ghazal
jo dil mein , ankhon ke hawalay nahi karna
khud ko kabhi khuwaabon ke hawalay nahi karna
جو دل میں ہے، آنکھوں کے حوالے نہیں کرنا
خود کو کبھی خوابوں کے حوالے نہیں کرنا
iss umer mein khush fehmian achi nahi hotein
iss umer ko waaadon ke hawalay nahi karna
اِس عمر میں خوش فہمیاں اچھی نہیں ہوتیں
اِس لمحہ کو وعدوں کے حوالے نہیں کرنا
tum asal say bichra hua ik khuwab ho shayed
uss khuwab ko yaadon ke hawalay nahi karna
تم اصل سے بچھڑا ہوا خواب ہو شاید
اس خواب کو یادوں کے حوالے نہیں کرنا ab apnay thikanay he pay rehta nahi koi
peghaam parindon ke hawalay nahi karna اب اپنے ٹھکانے ہی پہ رہتا نہیں کوئیپیغام ، پرندوں کے حوالے نہیں کرنا dunya bhi tu patal say bahar ka safar he
manzil kabhi raston ke hawalay nahi karna دنیا بھی تو پاتال سے باہر کا سفر ہےمنزل کبھی رستوں کے حوالے نہیں کرنا۔ ab ke jo musaafat hamein dar paish he is mein
kuch bhi tu sarabon ke hawalay nahi karna اب کے جو مسافت ہمیں درپیش ہے اس میںکچھ بھی تو سرابوں کے حوالے نہیں کرنا jiss aag say roshan hua ehsaas ka angan
us aag ko ashkon ke hawalay nahi karna جس آگ سے روشن ہوا احساس کا آنگناس آگ کو اشکوں کے حوالے نہیں کرنا dekha nahi iss faqr ne kia kar dia tum ko
iss faqr ko shahoon ke hawalay nahi karna دیکھا نہیں! اس فقر نے کیا کردیا تم کواس فقر کو شاہوں کے حوالے نہیں کرنا is maarka-e-ishq mein jo haal ho mera
lekin mujhay logon ke hawalay nahi karna اِس معرکۂ عشق میں جو حال ہو میرالیکن مجھے لوگوں کے حوالے نہیں کرنا Jo Uske Saamne Mera Yeh Haal Aa Jaye – Wasi ShahAaj Malbos Mai Hai Kaisi Thakan Ki Khushbo – Urdunama.netKahan Tha Itna Azab Ashna Mera Chehra – Mohsin Naqvi
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO