Ghazals Jigar Muradabadi Jo Ab Bhi Na Taklif Farmaaiye Ga – Jigar Murad Abadi urdunama July 5, 2021 Urdu, Poetry, Quote, Shayari, Aqwal, Sad Poetry, Urdu Poetry, Love Poetry, Islamic Poetry, Nazm, Ghazal, Iqbal, Parveen Shakir, Jaun Elia, Ahmed Faraz, Faiz Ahmed Faiz, Bashir Badr, Rahat Indori, Mohsin Naqvi, Mir Taki Mir, Mirza Ghalib, Gulzar, Tehzeeb Hafi, Javed Akhtar, Ada Jaffery, Firaq Gorakhpuri, Sahil Ludhianvi, Majrooh Sultanpuri, Nida Fazli, Wasim Barelvi, Akbar Allahabadi, Ibn-e-Insha Table of Contents ToggleJo Ab Bhi Na Taklif Farmaaiye GaJigar Murad Abadi Jo Ab Bhi Na Taklif Farmaaiye GaJigar Murad Abadi Jo ab bhi na takleef farmaiyegaTo bas haath malte hi reh jaaiyega جو اب بھی نہ تکلیف فرمائیے گاتو بس ہاتھ ملتے ہی رہ جائیے گا Nigahon se chup kar kahan jaiyegaJahan jaiyega humein paaiyega نگاہوں سے چھپ کر کہاں جائیے گاجہاں جائیے گا ہمیں پائیے گا Mitta kar hamein aap pachhtaiyegaKamee koi mehsoos farmaiyega مٹا کر ہمیں آپ پچھتائیے گاکمی کوئی محسوس فرمائیے گا Nahi khel naseh junoon ki haqeeqatSamajh lijiyega to samjhaiyega نہیں کھیل ناصح جنوں کی حقیقتسمجھ لیجئے گا تو سمجھائیے گا Hamein bhi ye ab dekhna hai ke hum parKahan tak tawajjoh na farmaiyega ہمیں بھی یہ اب دیکھنا ہے کہ ہم پرکہاں تک توجہ نہ فرمائیے گا Sitam ishq mein aap aasan na samjheinTadap jaiyega to tadpaiyega ستم عشق میں آپ آساں نہ سمجھیںتڑپ جائیے گا جو تڑپائیے گا Ye dil hai, ise dil hi bas rehne deejeKaram kijiyega to pachhtaiyega یہ دل ہے اسے دل ہی بس رہنے دیجےکرم کیجئے گا تو پچھتائیے گا Kahin chup rahi hai zabaan e mohobbatNa farmaiyega to farmaiyega کہیں چپ رہی ہے زبان محبتنہ فرمائیے گا تو فرمائیے گا Bhulana hamara mubarak mubarakMagar shart ye hai na yaad aaiyega بھلانا ہمارا مبارک مبارکمگر شرط یہ ہے نہ یاد آئیے گا Hamein bhi na ab chain aayega jab takIn aankhon mein aansoo na bhar laaiyega ہمیں بھی نہ اب چین آئے گا جب تکان آنکھوں میں آنسو نہ بھر لائیے گا Hamein jab na honge tou kya rang e mehfilKise dekh kar aap sharmaiyega ہمیں جب نہ ہوں گے تو کیا رنگِ محفلکسے دیکھ کر آپ شرمایئے گا Junoon ki Jigar koi hadd bhi hai aakhirKahan tak kisi par sitam dhaiyega جنوں کی جگرؔ کوئی حد بھی ہے آخرکہاں تک کسی پر ستم ڈھائیے گا Is Bhari Duniya Mein Koi Bhi Hamara Na Hua – LyricsKya Haqiqat Kahun Keh Kya Hai Ishq – Mir Taqi Mir FOLLOW US:Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6ePinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAmYoutube: Https://Bit.Ly/35blMZO Continue Reading Previous: Is Bhari Duniya Mein Koi Bhi Hamara Na Hua – LyricsNext: Ye Khayal Tha Kabhi Khwab Mein Tujhe Dekhte Related Stories Ghazals Ghar Se Nikal Kar Apne Tere Aastan Tak – Urdu Ghazal Poetry urdunama October 3, 2021 Ghazals Bheed Mein Aik Shaks Ko Sab Hi Say Hat K Daikhna | Ghazal urdunama October 3, 2021 Jigar Muradabadi Ishq Main Laajawaab Hain Ham Log – Jigar Moradabadi urdunama October 3, 2021