Table of Contents
Jinhain Mein Dhondta Tha Asmanon Mein Zameenon Mein
Bang-e-Dara
Jinhain Mein Dhondta Tha Asmanon Mein Zameenon Mein
Woh Nikle Mere Zulmat Khana-e-Dil Ke Makeenon Mein
جنھيں ميں ڈھونڈتا تھا آسمانوں ميں زمينوں ميں
وہ نکلے ميرے ظلمت خانہ دل کے مکينوں ميں
Haqiqat Apni Ankhon Par Namayan Jab Huwi Apni
Makan Nikla Humare Khana-e-Dil Ke Makeenon Mein
حقيقت اپنی آنکھوں پر نماياں جب ہوئی اپنی
مکاں نکلا ہمارے خانہ دل کے مکينوں ميں Agar Kuch Ashana Hota Mazaq-e-Jaba-Sayi Se
To Sang-e-Astan-e-Kaaba Ja Milta Jabeenon Mein اگر کچھ آشنا ہوتا مذاق جبہہ سائی سےتو سنگ آستاں کعبہ جا ملتا جبينوں ميں Kabhi Apna Bhi Nazara Kiya Hai Tu Ne Ae Majnoon
Ke Laila Ki Tarah Tu Bhi Hai Mehmil Nasheenon Mein کبھی اپنا بھی نظارہ کيا ہے تو نے اے مجنوںکہ ليلی کی طرح تو خود بھی ہے محمل نشينوں ميں Mahine Wasl Ke Ghariyon Ki Soorat Urte Jate Hain
Magar Ghariyan Judai Ki Guzerti Hain Mahinon Mein مہينے وصل کے گھڑيوں کی صورت اڑتے جاتے ہيںمگر گھڑياں جدائی کی گزرتی ہيں مہينوں ميں Mujhe Roke Ga Tu Ae Na-Khuda Kya Gharaq Hone Se
Ke Jin Ko Doobna Ho, Doob Jate Hain Safeenon Mein مجھے روکے گا تو اے ناخدا کيا غرق ہونے سےکہ جن کو ڈوبنا ہو ، ڈوب جاتے ہيں سفينوں ميں Chupaya Husn Ko Apne Kaleem-Ullah Se Jis Ne
Wohi Naz Afreen Hai Jalwa Pera Naaz Neenon Mein چھپايا حسن کو اپنے کليم اللہ سے جس نےوہی ناز آفريں ہے جلوہ پيرا نازنينوں ميں Jala Sakti Hai Shama-e-Kushta Ko Mouj-e-Nafas In Ki
Elahi! Kya Chupa Hota Hai Ahl-e-Dil Ke Seenon Mein جلا سکتی ہے شمع کشتہ کو موج نفس ان کیالہی! کيا چھپا ہوتا ہے اہل دل کے سينوں ميں Tamanna Dard-e-Dil Ki Ho To Kar Khidmat Faqeeron Ki
Nahin Milta Ye Gohar Badshahon Ke Khazeenon Mein تمنا درد دل کی ہو تو کر خدمت فقيروں کینہيں ملتا يہ گوہر بادشاہوں کے خزينوں ميں Na Puch In Kharqa Poshon Ki, Iradat Ho To Dekh In Ko
Yad-e-Baiza Liye Baithe Hain Apni Asteenon Mein نہ پوچھ ان خرقہ پوشوں کی ، ارادت ہو تو ديکھ ان کويد بيضا ليے بيٹھے ہيں اپنی آستينوں ميں Tarasti Hai Nigah-e-Narsa Jis Ke Nazare Ko
Woh Ronaq Anjuman Ki Hai Inhi Khalwat Guzinon Mein ترستی ہے نگاہ نا رسا جس کے نظارے کووہ رونق انجمن کی ہے انھی خلوت گزينوں ميں Kisi Aese Sharar Se Phoonk Apne Kharman-e-Dil Ko
Ke Khursheed-e-Qayamat Bhi Ho Tere Khosha Cheenon Mein کسی ايسے شرر سے پھونک اپنے خرمن دل کوکہ خورشيد قيامت بھی ہو تيرے خوشہ چينوں ميں
Mohabbat Ke Liye Dil Dhoond Koi Tootne Wala
Ye Woh Mai Hai Jise Rakhte Hain Nazuk Abgeenon Mein
محبت کے ليے دل ڈھونڈ کوئی ٹوٹنے والا
يہ وہ مے ہے جسے رکھتے ہيں نازک آبگينوں ميں Sarapa Husn Ban Jata Hai Jis Ke Husn Ka Ashiq
Bhala Ae Dil Haseen Aesa Bhi Hai Koi Haseenon Mein سراپا حسن بن جاتا ہے جس کے حسن کا عاشقبھلا اے دل حسيں ايسا بھی ہے کوئی حسينوں ميں Pharak Utha Koi Teri Adaye ‘MA ARAFNA’ Par
Tera Rutba Raha Barh Charh Ke Sub Naaz Afreenon Mein پھڑک اٹھا کوئی تيری ادائے ‘ما عرفنا’ پرترا رتبہ رہا بڑھ چڑھ کے سب ناز آفرينوں ميں Namayan Ho Ke Dikhla De Kabhi In Ko Jamal Apna
Bohat Muddat Se Cherche Hain Tere Bareek Beenon Mein نماياں ہو کے دکھلا دے کبھی ان کو جمال اپنابہت مدت سے چرچے ہيں ترے باريک بينوں ميں Khamosh Ae Dil! Bhari Mehfil Mein Chillana Nahin Acha
Adab Pehla Qareena Hai Mohabbat Ke Qareenon Mein خموش اے دل! ، بھری محفل ميں چلانا نہيں اچھاادب پہلا قرينہ ہے محبت کے قرينوں ميں Bura Samajhun Inhain, Mujh Se To Aesa Ho Nahin Sakta
Ke Main Khud Bhi To Hun Iqbal Apne Nukta Cheenon Mein برا سمجھوں انھيں مجھ سے تو ايسا ہو نہيں سکتاکہ ميں خود بھی تو ہوں اقبال اپنے نکتہ چينوں ميں Khird Ke Paas Khabar Ke Siwa Kuch Aur Nahin – Allama IqbalKhudi Woh Behar Hai Jis Ka Koi Kinara Nahin – Allama IqbalZamana Aaya Hai Be-Hijabi Ka, Aam Deedar-e-Yaar Hoga – Iqbal
Follow Us:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO