Table of Contents
Jhatak Ke Zulfein Andhere Ko Taal Deti Hai
Gulaab-zaadi Sahar Ko Ujaal Deti Hai
جھٹک کے زُلفیں اندھیرے کو ٹال دیتی ہے
Main Tere Lams Ko Lafzo’n Mein Kis Tarah Laon
Tu Haath Chhooti Nahi Jaan Nikaal Deti Hai
میں تیرے لمس کو لفظوں میں کس طرح لاوں
Kuch Is Ada Se Ghumaati Hai Sharbati Aankhein
Tu Kayenaat Ko Mushkil Mein Daal Deti Hai
کچھ اِس ادا سے گُھماتی ہے شربتی آنکھیں
Gulaab-zaadi Tera Shukriya Ke Teri Hansi
Mere Ghareeb Ke Fan Ko Kamaal Deti Hai
گُلاب زادی، تِرا شکریہ کہ تیری ہنسی
Gulaab Titli Se Is Baat Par Ulajhte Hain
Wo Baat Baat Par Teri Misaal Deti Hai
گلاب، تتلی سے اِس بات پر اُلجھتے ہیں
Gulaab O Motiya, Champa O Yasmeen Ki Majaal
Tu Qahqahe Mein Wo Khushbu Uchal Deti Hai
Tere Khyal Ki Wusat Ki Chandni Ki Qasam
Tu Meri Shaam Ko Subah Ka Khyaal Deti Hai
تِرے خیال کی وسعت کی چاندنی کی قسم
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO