
Urdu, Poetry, Quote, Shayari, Aqwal, Sad Poetry, Urdu Poetry, Love Poetry, Islamic Poetry, Nazm, Ghazal, Iqbal, Parveen Shakir, Jaun Elia, Ahmed Faraz, Faiz Ahmed Faiz, Bashir Badr, Rahat Indori, Mohsin Naqvi, Mir Taki Mir, Mirza Ghalib, Gulzar, Tehzeeb Hafi, Javed Akhtar, Ada Jaffery, Firaq Gorakhpuri, Sahil Ludhianvi, Majrooh Sultanpuri, Nida Fazli, Wasim Barelvi, Akbar Allahabadi, Ibn-e-Insha
Jeene Ka Na Kuch Hosh Na Marne Ki Khabar Hai
jeene ka na kuch hosh na marne ki Khabar haiay shobada-pardaz ye kya tarz-e-nazar hai جینے کا نہ کچھ ہوش نہ مرنے کی خبر ہےاے شعبدہ پرداز یہ کیا طرزِ نظر ہے seene mein yahan dil hai na pahlu mein jigar haiab kaun hai jo tishna-e-paikan-e-nazar hai سینے میں یہاں دل ہے نہ پہلو میں جگر ہےاب کون ہے جو تشنۂ پیکانِ نظر ہے hai tabish-e-anwar se aalam tah-o-baalajalwa wo abhi tak tah-e-daman-e-nazar hai ہے تابش انوار سے عالم تہہ و بالاجلوہ وہ ابھی تک تہہِ دامانِ نظر ہے kuch milte hain ab pukhtagi-e-ishq ke aasarnalon mein rasai hai na aahon mein asar hai کچھ ملتے ہیں اب پختگی عشق کے آثارنالوں میں رسائی ہے نہ آہوں میں اثر ہے zarron ko yahan chain na ajram-e-falak koye qafila be-tab kahan garm-e-safar hai ذَرّوں کو یہاں چین نہ اجرام فلک کویہ قافلہ بے تاب کہاں گرم سفر ہے Khamosh ye hairat-kada-e-dahr hai ‘asghar’jo kuch nazar aata hai wo sab tarz-e-nazar hai خاموش یہ حیرت کدۂ دہر ہے اصغرؔجو کچھ نظر آتا ہے وہ سب طرزِ نظر ہے Tumko Hum Dil Mein Basa Lenge Tum Aao Tau SahiWaqt Ki Umar Kya Badi Hogi – Saghar Siddiqui Poetry Gham-E-Ashiqi Se Keh Do Rah-E-Aam Tak Na PohuncheWo Khwaab Tha Bikhar Gaya – Urdu Sad Ghazal
FOLLOW US:
Facebook: Https://Bit.Ly/3kz8I6e
Pinterest: Https://Bit.Ly/32MdcAm
Youtube: Https://Bit.Ly/35blMZO